Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin, Urdu Ghazal By Al Haaj Al Hafiz

Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Al Haaj Al Hafiz. Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آج مجھ سا اس جہاں میں بے نوا کوئی نہیں

الحاج الحافظ

آج مجھ سا اس جہاں میں بے نوا کوئی نہیں

کس کو میں اپنا کہوں جب آشنا کوئی نہیں

سر کو دھن لوں میں کہ پیٹوں دل جگر کو کیا کروں

ہم نشیں ہمدم نہ محرم ہم نوا کوئی نہیں

یہ شکایت ہی سہی لیکن ہے اپنے بخت سے

دوستو تم سے ہمیں شکوہ گلہ کوئی نہیں

بے نیازی کی ادا آخر کو ان سے سیکھ لی

کیا چلے ہو پوچھنے جب مدعا کوئی نہیں

نقش حیرت ہیں مرے احباب تاروں کی طرح

سب کی آنکھیں ہیں کھلی پر دیکھتا کوئی نہیں

یہ تمہاری سادگی بھی تو بلائے جان ہے

عشوہ و غمزہ نہیں ناز و ادا کوئی نہیں

نقش بر دیوار ہوں آ کر تمہاری بزم میں

لوگ صورت دیکھتے ہیں پوچھتا کوئی نہیں

دیکھنے میں کس قدر دل کش ہیں رنگیں نقش گل

لوگ پھر بھی کہتے ہیں بوئے وفا کوئی نہیں

اب گلوں پر خار کو ترجیح دی جانے لگی

اس چمن میں ہم نفس بلبل ترا کوئی نہیں

یہ صلہ میری وفا کا دے کے وہ بھی چل دئے

عمر بھر کی تلخیاں ہیں آسرا کوئی نہیں

پھر کسی نے اک صدا مانوس دی ہے دیکھنا

جبکہ اس دنیا میں اپنا ہم نوا کوئی نہیں

ڈاکٹر دیوانؔ صاحب آئے بھی تو کیا کریں

اس مریض عشق کے دل کی دوا کوئی نہیں

الحاج الحافظ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin

Al Haaj Al Hafiz

aaj mujh sa is jahan mein be-nawa koi nahin
kis ko main apna kahun jab aashna koi nahin

sar ko dhun lun main ki piTun dil jigar ko kya karun
ham-nashin hamdam na mahram ham-nawa koi nahin

ye shikayat hi sahi lekin hai apne baKHt se
dosto tum se hamein shikwa gila koi nahin

be-niyazi ki ada aaKHir ko un se sikh li
kya chale ho puchhne jab muddaa koi nahin

naqsh-e-hairat hain mere ahbab taron ki tarah
sab ki aankhen hain khuli par dekhta koi nahin

ye tumhaari sadgi bhi to bala-e-jaan hai
ishwa-o-ghamza nahin naz-o-ada koi nahin

naqsh-bar-diwar hun aa kar tumhaari bazm mein
log surat dekhte hain puchhta koi nahin

dekhne mein kis qadar dilkash hain rangin naqsh-e-gul
log phir bhi kahte hain bu-e-wafa koi nahin

ab gulon par KHar ko tarjih di jaane lagi
is chaman mein ham-nafas bulbul tera koi nahin

ye sila meri wafa ka de ke wo bhi chal diye
umr bhar ki talKHiyan hain aasra koi nahin

phir kisi ne ek sada manus di hai dekhna
jabki is duniya mein apna ham-nawa koi nahin

doctor 'diwan' sahib aae bhi to kya karen
is mariz-e-ishq ke dil ki dawa koi nahin

(675) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin written by Al Haaj Al Hafiz at UrduPoint. Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin is one of the masterpieces written by Al Haaj Al Hafiz. You can also find the complete poetry collection of Al Haaj Al Hafiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Al Haaj Al Hafiz' above.

Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aaj Mujh Sa Is Jahan Mein Be-nawa Koi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.