Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna, Urdu Ghazal By Ali Minai

Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ali Minai. Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رکھنا ہو تو دل کو نگہ یار میں رکھنا

علی مینائی

رکھنا ہو تو دل کو نگہ یار میں رکھنا

اس جنس گرامی کو نہ بازار میں رکھنا

ہم اہل تمنا کی بس اتنی ہے کرامت

اک خواب سدا دیدۂ بے دار میں رکھنا

انجام طرب بھی تو تأسف ہے سو اس بار

خوشیوں کو بھی تخمینہ آزار میں رکھنا

اب گھر جو بنانا کوئی خوابوں کی زمیں پر

امکان تغیر در و دیوار میں رکھنا

ناحق کسی مظلوم پر اٹھے تو لچک جائے

یہ جوہر نایاب بھی تلوار میں رکھنا

یہ کیا کہ ہر اک دل میں جگانا طلب حسن

اور خود کو نہاں پردۂ اسرار میں رکھنا

علی مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna

Ali Minai

rakhna ho to dil ko nigah-e-yar mein rakhna
is jins-e-girami ko na bazar mein rakhna

hum ahl-e-tamanna ki bas itni hai karamat
ek KHwab sada dida-e-bedar mein rakhna

anjam-e-tarab bhi to tassuf hai so is bar
KHushiyon ko bhi taKHmina-e-azar mein rakhna

ab ghar jo banana koi KHwabon ki zamin par
imkan-e-taghayyur dar-o-diwar mein rakhna

nahaq kisi mazlum par uTThe to lachak jae
ye jauhar-e-nayab bhi talwar mein rakhna

ye kiya ki har ek dil mein jagana talab-e-husn
aur KHud ko nihan parda-e-asrar mein rakhna

(538) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna written by Ali Minai at UrduPoint. Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna is one of the masterpieces written by Ali Minai. You can also find the complete poetry collection of Ali Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ali Minai' above.

Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rakhna Ho To Dil Ko Nigah-e-yar Mein Rakhna, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.