KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan, Urdu Ghazal By Alimuddin Aleem

KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Alimuddin Aleem. KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خون میں ڈوبا ہوا شہر کا منظر ہے میاں

علیم الدین علیم

خون میں ڈوبا ہوا شہر کا منظر ہے میاں

ایسے ماحول سے تو گاؤں ہی بہتر ہے میاں

کس گھڑی کیا ہو مرے ساتھ کوئی ٹھیک نہیں

ان دنوں چاروں طرف خوف کا لشکر ہے میاں

عافیت اس میں تمہاری ہے کہ خاموش رہو

اور کہنے کو مرے پاس بھی دفتر ہے میاں

عمر بھر تیشہ زنی میری طرح کون کرے

سخت پتھر کی طرح میرا مقدر ہے میاں

ہو رہا ہے یہ عیاں خوف زدہ چہرے سے

رعب غالب تو مرا آج بھی تم پر ہے میاں

خوف سا لگتا ہے خود اپنے پڑوسی سے علیمؔ

گھر تو اونچا ہے مگر پھوس کا چھپر ہے میاں

علیم الدین علیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan

Alimuddin Aleem

KHun mein Duba hua shahar ka manzar hai miyan
aise mahaul se to ganw hi behtar hai miyan

kis ghaDi kya ho mere sath koi Thik nahin
in dinon chaaron taraf KHauf ka lashkar hai miyan

aafiyat is mein tumhaari hai ki KHamosh raho
aur kahne ko mere pas bhi daftar hai miyan

umr bhar tesha-zani meri tarah kaun kare
saKHt patthar ki tarah mera muqaddar hai miyan

ho raha hai ye ayan KHauf-zada chehre se
roab ghaalib to mera aaj bhi tum par hai miyan

KHauf sa lagta hai KHud apne paDosi se 'alim'
ghar to uncha hai magar phus ka chhappar hai miyan

(824) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan written by Alimuddin Aleem at UrduPoint. KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan is one of the masterpieces written by Alimuddin Aleem. You can also find the complete poetry collection of Alimuddin Aleem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Alimuddin Aleem' above.

KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHun Mein Duba Hua Shahar Ka Manzar Hai Miyan, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.