Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai, Urdu Ghazal By Anjum Usman

Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anjum Usman. Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ساعت زیر و زبر کے درمیاں کوئی تو ہے

انجم عثمان

ساعت زیر و زبر کے درمیاں کوئی تو ہے

سن پس ادراک پیش آسماں کوئی تو ہے

میں خود اپنے باب میں رہتی ہوں محو جستجو

ہم رکاب وحشت ریگ رواں کوئی تو ہے

اجنبی ہیں ساری آوازیں سرائے دہر میں

پھر بھی یوں لگتا ہے میرا ہم زباں کوئی تو ہے

ہیں سبھی بنجر خیال و خواب کی زیبائیاں

ہاں بس اتنا ہے کہ زیب داستاں کوئی تو ہے

رقص فرمائیں رگوں میں عشق کی چنگاریاں

کہہ اٹھے یعنی طلب شعلہ بجاں کوئی تو ہے

بے ستوں افلاک بے بنیاد رقصاں ہے زمیں

تھام رکھا ہے کسی نے یہ جہاں کوئی تو ہے

ایک نقش یاد یار اک پرتو حسن فریب

میری بزم آرائیوں کا رازداں کوئی تو ہے

بر سر ہجراں بھی وابستہ ہے امید وصال

ہم سا شہر آرزو میں خوش گماں کوئی تو ہے

رہ نورد عشق ہے غم آشنائے اضطراب

اس دیار جستجو میں ضو فشاں کوئی تو ہے

وسعتیں انجمؔ فرومانده ہیں جس کے باب میں

ماورائے کل مکاں و لا مکاں کوئی تو ہے

انجم عثمان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai

Anjum Usman

saat-e-zer-o-zabar ke darmiyan koi to hai
sun pas-e-idrak pesh-e-asman koi to hai

main KHud apne bab mein rahti hun mahw-e-justuju
ham-rikab-e-wahshat-e-reg-e-rawan koi to hai

ajnabi hain sari aawazen sara-e-dahr mein
phir bhi yun lagta hai mera ham-zaban koi to hai

hain sabhi banjar KHayal-o-KHwab ki zebaiyan
han bas itna hai ki zeb-e-dastan koi to hai

raqs farmaen ragon mein ishq ki chingariyan
kah uThe yani talab shoala-ba-jaan koi to hai

be-sutun aflak be-buniyaad raqsan hai zamin
tham rakkha hai kisi ne ye jahan koi to hai

ek naqsh-e-yaad-e-yar ek partaw-e-husn-e-fareb
meri bazm-araiyon ka raaz-dan koi to hai

bar-sar-e-hijran bhi wabasta hai ummid-e-visal
hum sa shahr-e-arzu mein KHush-guman koi to hai

rah-naward-e-ishq hai gham aashna-e-iztirab
is dayar-e-justuju mein zau-fishan koi to hai

wusaten 'anjum' faromanda hain jis ke bab mein
mawara-e-kul makan-o-la-makan koi to hai

(608) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai written by Anjum Usman at UrduPoint. Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai is one of the masterpieces written by Anjum Usman. You can also find the complete poetry collection of Anjum Usman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anjum Usman' above.

Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Saat-e-zer-o-zabar Ke Darmiyan Koi To Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.