Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai, Urdu Ghazal By Anwar Husain Anwar

Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Husain Anwar. Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بستر کی شکن آس کی شہنائی ڈسے ہے

انور حسین انور

بستر کی شکن آس کی شہنائی ڈسے ہے

اک درد ابھر آئے ہے تنہائی ڈسے ہے

جب دیکھوں میں آئینے میں مرجھائی سی صورت

درپن سے ابھر کر تری انگڑائی ڈسے ہے

مسکان وہ متوالی ادا سرخی لبوں کی

نینوں کی تری جھیل سی گہرائی ڈسے ہے

گلشن ہے سراپا اے مری جان غزل تو

ناگن سی مگر زلف جو لہرائی ڈسے ہے

میں تجھ سے اکیلے میں بھی مل سکتا ہوں لیکن

الزام ڈرائے مجھے رسوائی ڈسے ہے

لے آتی ہیں خوشبو سی چرا کر تری یادیں

تنہائی کے عالم میں یہ پروائی ڈسے ہے

دالان تو ساگون کے پتوں سے اٹے ہیں

اور قبر سی سنسان یہ انگنائی ڈسے ہے

پاگل ہے دیوانہ ہے وہ مستانہ ستم گر

پھولوں کا دہن بھنورا سا ہرجائی ڈسے ہے

اس درد محبت میں نہیں تجھ سے شکایت

مجھ کو تو مرے پیار کی گہرائی ڈسے ہے

بنجر ہے زمیں دیش کی دل کیسے سکوں پائے

بازار کی بڑھتی ہوئی مہنگائی ڈسے ہے

ہے نظم تو انورؔ کی ربائی بھی غزل بھی

اے جان غزل تیری شناسائی ڈسے ہے

انور حسین انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai

Anwar Husain Anwar

bistar ki shikan aas ki shahnai Dase hai
ek dard ubhar aae hai tanhai Dase hai

jab dekhun main aaine mein murjhai si surat
darpan se ubhar kar teri angDai Dase hai

muskan wo matwali ada surKHi labon ki
nainon ki teri jhil si gahrai Dase hai

gulshan hai sarapa ai meri jaan-e-ghazal tu
nagin si magar zulf jo lahrai Dase hai

main tujh se akele mein bhi mil sakta hun lekin
ilzam Darae mujhe ruswai Dase hai

le aati hain KHushbu si chura kar teri yaaden
tanhai ke aalam mein ye purwai Dase hai

dalan to sagaun ke patton se aTe hain
aur qabr si sunsan ye angnai Dase hai

pagal hai diwana hai wo mastana sitamgar
phulon ka dahan bhanwra sa harjai Dase hai

is dard-e-mohabbat mein nahin tujh se shikayat
mujh ko to mere pyar ki gahrai Dase hai

banjar hai zamin desh ki dil kaise sukun pae
bazar ki baDhti hui mahngai Dase hai

hai nazm tu 'anwar' ki rubai bhi ghazal bhi
ai jaan-e-ghazal teri shanasai Dase hai

(540) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai written by Anwar Husain Anwar at UrduPoint. Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai is one of the masterpieces written by Anwar Husain Anwar. You can also find the complete poetry collection of Anwar Husain Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Husain Anwar' above.

Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bistar Ki Shikan Aas Ki Shahnai Dase Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.