Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai, Urdu Ghazal By Arman Najmi

Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arman Najmi. Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ حرف شوق نہ طرز بیاں سے آتی ہے

ارمان نجمی

نہ حرف شوق نہ طرز بیاں سے آتی ہے

سپردگی کی صدا جسم و جاں سے آتی ہے

کوئی ستارہ رگ و پے میں ہے سمایا ہوا

مجھے خود اپنی خبر آسماں سے آتی ہے

کسی دکان سے ملتی نہیں ہے گرمیٔ شوق

یہ آنچ وہ ہے جو سوز نہاں سے آتی ہے

کھلا نہیں ہے وہ مجھ پر کسی بھی پہلو سے

نہیں کی گونج ابھی اس کی ہاں سے آتی ہے

عجیب شے ہے نشاط یقیں کی دولت بھی

کسی وجود کے وہم و گماں سے آتی ہے

پرندے شام ڈھلے راہ میں نہیں رکتے

کوئی نوید انہیں آشیاں سے آتی ہے

مٹھاس گھولتا ہے کون میرے لہجے میں

مرے سخن میں حلاوت کہاں سے آتی ہے

گریز بھی کہیں اظہار آرزو ہی نہ ہو

کشش یہ کیسی بدن کی کماں سے آتی ہے

کسی حجاب کی بندش کو مانتی ہی نہیں

جو موج روح کی جوئے رواں سے آتی ہے

ارمان نجمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai

Arman Najmi

na harf-e-shauq na tarz-e-bayan se aati hai
supurdagi ki sada jism-o-jaan se aati hai

koi sitara rag-o-pai mein hai samaya hua
mujhe KHud apni KHabar aasman se aati hai

kisi dukan se milti nahin hai garmi-e-shauq
ye aanch wo hai jo soz-e-nihan se aati hai

khula nahin hai wo mujh par kisi bhi pahlu se
nahin ki gunj abhi us ki han se aati hai

ajib shai hai nashat-e-yaqin ki daulat bhi
kisi wajud ke wahm-o-guman se aati hai

parinde sham Dhale rah mein nahin rukte
koi nawed unhen aashiyan se aati hai

miThas gholta hai kaun mere lahje mein
mere suKHan mein halawat kahan se aati hai

gurez bhi kahin izhaar-e-arzu hi na ho
kashish ye kaisi badan ki kaman se aati hai

kisi hijab ki bandish ko manti hi nahin
jo mauj ruh ki ju-e-rawan se aati hai

(876) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai written by Arman Najmi at UrduPoint. Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai is one of the masterpieces written by Arman Najmi. You can also find the complete poetry collection of Arman Najmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arman Najmi' above.

Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Harf-e-shauq Na Tarz-e-bayan Se Aati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.