Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پرتو رخ کا ترے دل میں گزر رہتا ہے

ارشد علی خان قلق

پرتو رخ کا ترے دل میں گزر رہتا ہے

ساتھ آئینے کے آئینے کا گھر رہتا ہے

آج کل جوش پہ یہ دیدۂ تر رہتا ہے

مردم شہر کو طوفان کا ڈر رہتا ہے

قتل عشاق انہیں مد نظر رہتا ہے

نیمچہ آٹھ پہر زیب کمر رہتا ہے

سوز الفت کا ہے پروانہ دل بزم اپنا

یہ وہ پنبہ ہے نہاں جس میں شرر رہتا ہے

بزم الفت میں قدم رکھتے ہیں جو لوگ اپنا

شمع کی طرح کف دست پہ سر رہتا ہے

چشم میگوں سے ہے ساقی کی محبت جس کو

نشۂ مے میں وہ چور آٹھ پہر رہتا ہے

قول و اقرار پہ کیوں چھوڑ دیا دہن یار

اس ندامت سے گریبان میں سر رہتا ہے

اب تو دم بھر انہیں فرصت نہیں آرائش سے

آئنہ آٹھ پہر پیش نظر رہتا ہے

کشتۂ تیغ نگہ طالب دیدار رہیں

چشم جاناں کو یہ منظور نظر رہتا ہے

یہ بھی ہیں اس فلک حسن کے جویا مری طرح

چاند سورج کو جو دن رات سفر رہتا ہے

جب بگڑتے ہیں تو مننے کا وہ لیتے نہیں نام

پہروں اپنا قدم یار پہ سر رہتا ہے

بیلا باٹیں‌ گے سواری میں کسی گل کے یہ کیا

غنچوں کی مٹھیوں میں کس لیے زر رہتا ہے

میں وہ دیوانہ ہوں جب فصل بہار آتی ہے

میرے ویرانے میں پریوں کا گزر رہتا ہے

وصل کی شب بھی نہیں چین سے کٹنے پاتی

ہر دم آرزدگئ یار کا ڈر رہتا ہے

دیکھنے والے سمجھتے ہیں عبث تار نظر

میری آنکھوں میں ترا موئے کمر رہتا ہے

غیر کے بس میں قلقؔ کیوں نہ ہو وہ سیم بدن

قابوئے یار میں گنجینۂ زر رہتا ہے

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai

Arshad Ali Khan Qalaq

partaw-e-ruKH ka tere dil mein guzar rahta hai
sath aaine ke aaine ka ghar rahta hai

aaj-kal josh pe ye dida-e-tar rahta hai
mardum-e-shahr ko tufan ka Dar rahta hai

qatl-e-ushshaq unhen madd-e-nazar rahta hai
nimcha aaTh-pahr zeb-e-kamar rahta hai

soz-e-ulfat ka hai parwana dil-e-bazm apna
ye wo pamba hai nihan jis mein sharar rahta hai

bazm-e-ulfat mein qadam rakhte hain jo log apna
shama ki tarah kaf-e-dast pe sar rahta hai

chashm-e-maigun se hai saqi ki mohabbat jis ko
nashsha-e-mai mein wo chor aaTh-pahr rahta hai

qaul-o-iqrar pe kyun chhoD diya dahan-e-yar
is nadamat se gareban mein sar rahta hai

ab to dam-bhar unhen fursat nahin aaraish se
aaina aaTh-pahr pesh-e-nazar rahta hai

kushta-e-tegh-e-nigah talib-e-didar rahen
chashm-e-jaanan ko ye manzur-e-nazar rahta hai

ye bhi hain us falak-e-husn ke juya meri tarh
chand suraj ko jo din-raat safar rahta hai

jab bigaDte hain to manne ka wo lete nahin nam
pahron apna qadam-e-yar pe sar rahta hai

bela baTenge sawari mein kisi gul ke ye kya
ghunchon ki muTThiyon mein kis liye zar rahta hai

main wo diwana hun jab fasl-e-bahaar aati hai
mere virane mein pariyon ka guzar rahta hai

wasl ki shab bhi nahin chain se kaTne pati
har-dam aazurdagi-e-yar ka Dar rahta hai

dekhne wale samajhte hain abas tar-e-nazar
meri aankhon mein tera mu-e-kamar rahta hai

ghair ke bas mein 'qalaq' kyun na ho wo sim-badan
qabu-e-yar mein ganjina-e-zar rahta hai

(479) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.