Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai, Urdu Ghazal By Ashu Mishra

Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ashu Mishra. Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

راہبر راہنما کوئی نہیں ہوتا ہے

آشو مشرا

راہبر راہنما کوئی نہیں ہوتا ہے

راہ الفت میں سگا کوئی نہیں ہوتا ہے

مجھ کو خلوت میں بھی تم یاد نہیں آتے ہو

خود پسندی سے برا کوئی نہیں ہوتا ہے

دکھ کے موسم میں دلاسے کے لیے میرے ساتھ

یا تو میں ہوتا ہوں یا کوئی نہیں ہوتا ہے

ہم یتیموں کو دعا راس نہیں آتی ہیں

ہم یتیموں کا خدا کوئی نہیں ہوتا ہے

کوئی سایا نہ کوئی پھول نہ پنچھی کوئی

سوکھتے پیڑ کا کیا کوئی نہیں ہوتا ہے

اس سے بچھڑا تو مجھے بھول گئی خلق خدا

گھر سے نکلوں کا پتہ کوئی نہیں ہوتا ہے

آشو مشرا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai

Ashu Mishra

rahbar rah-numa koi nahin hota hai
rah-e-ulfat mein saga koi nahin hota hai

mujh ko KHalwat mein bhi tum yaad nahin aate ho
KHud pasandi se bura koi nahin hota hai

dukh ke mausam mein dilase ke liye mere sath
ya to main hota hun ya koi nahin hota hai

hum yatimon ko dua ras nahin aati hain
hum yatimon ka KHuda koi nahin hota hai

koi saya na koi phul na panchhi koi
sukhte peD ka kya koi nahin hota hai

us se bichhDa to mujhe bhul gai KHalq-e-KHuda
ghar se niklon ka pata koi nahin hota hai

(794) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai written by Ashu Mishra at UrduPoint. Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai is one of the masterpieces written by Ashu Mishra. You can also find the complete poetry collection of Ashu Mishra by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ashu Mishra' above.

Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rahbar Rah-numa Koi Nahin Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.