Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main, Urdu Ghazal By Aslam Haneef

Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aslam Haneef. Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سامنے اک کتاب ادھ کھلی اور میں

اسلم حنیف

سامنے اک کتاب ادھ کھلی اور میں

بے سبب شمع جلتی ہوئی اور میں

بے صدا ایک نغمے کے ہیں منتظر

دف بجاتی ہوئی خامشی اور میں

وقت کی کوکھ کا بر محل سانحہ

یہ جہاں مضطرب زندگی اور میں

کچھ پرند آسماں سے اترتے ہوئے

لطف اندوز جن سے ندی اور میں

وقت کی شاخ پر خوش نما پھول تھے

وہ گلی حسن کی سادگی اور میں

گردش رنگ و بو مشعلیں اور تو

بے کراں اک خلا تیرگی اور میں

جسم دھنسنے لگا رات کی قبر میں

پھر وہی خواب کی آگہی اور میں

جسم پر رینگ اٹھیں بے بدن چیٹیاں

پھر وہی دھوپ سی چاندنی اور میں

اسلم حنیف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main

Aslam Haneef

samne ek kitab adh-khuli aur main
be-sabab shama jalti hui aur main

be-sada ek naghme ke hain muntazir
daf bajati hui KHamushi aur main

waqt ki kokh ka bar-mahal saneha
ye jahan muztarib zindagi aur main

kuchh parind aasman se utarte hue
lutf-andoz jin se nadi aur main

waqt ki shaKH par KHushnuma phul the
wo gali husn ki sadgi aur main

gardish-e-rang-o-bu mishalen aur tu
be-karan ek KHala tirgi aur main

jism dhansne laga raat ki qabr mein
phir wahi KHwab ki aagahi aur main

jism par reng uThin be-badan chiTiyan
phir wahi dhup si chandni aur main

(760) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main written by Aslam Haneef at UrduPoint. Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main is one of the masterpieces written by Aslam Haneef. You can also find the complete poetry collection of Aslam Haneef by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aslam Haneef' above.

Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Samne Ek Kitab Adh-khuli Aur Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.