Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera, Urdu Ghazal By Badr E Alam Khan Azmi

Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Badr E Alam Khan Azmi. Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تمام قہر و بلا سے ہے واسطہ میرا

بدر عالم خاں اعظمی

تمام قہر و بلا سے ہے واسطہ میرا

ہر ایک حادثہ لگتا ہے حادثہ میرا

ہوا سناتی ہے نوحہ گری شہادت کا

ہر ایک موج پہ لکھا ہے مرثیہ میرا

وہ کون ہے مرے اندر جو وار کرتا ہے

یہ کس حریف سے ٹھہرا مقابلہ میرا

کوئی کتاب اٹھاؤں تو خوں ٹپکتا ہے

یہ کون کر گیا زخمی مطالعہ میرا

خدا گواہ کہ ان کی زمین تنگ ہوئی

درست کرنے چلے تھے جو قافیہ میرا

طیور آئے مگر ان کی چونچ خالی تھی

فرار ہو گیا لشکر سے ابرہہ میرا

یہ کیا ہوا کہ اچانک دہل اٹھے بچے

وہ کوئی پوچھ رہا ہے وہاں پتہ میرا

بچھڑ کے اس سے ہر اک شے بچھڑ گئی مجھ سے

اسی کا عکس دکھاتا ہے آئینہ میرا

مجھے گمان کی میرا ضمیر زندہ ہے

اسے یقین کہ سب کچھ ہے واہمہ میرا

ہر اک بلا کا مجھی پر نزول ہوتا ہے

لکھا ہوا ہے فلک پر کہیں پتہ میرا

فلک شگاف مری چیخ جب ابھرتی ہے

سنائی دیتا ہے لوگوں کو قہقہہ میرا

کسے پڑی ہے جو گہرائیوں میں اترے گا

یہاں پہ کون سمجھتا ہے فلسفہ میرا

میں برگ گل سے کروں گا مقابلہ اس کا

سنا دو جا کے یہ قاتل کو فیصلہ میرا

بدر عالم خاں اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera

Badr E Alam Khan Azmi

tamam qahr-o-bala se hai wasta mera
har ek hadisa lagta hai hadisa mera

hawa sunati hai nauhagari shahadat ka
har ek mauj pe likkha hai marsiya mera

wo kaun hai mere andar jo war karta hai
ye kis harif se Thahra muqabla mera

koi kitab uThaun to KHun Tapakta hai
ye kaun kar gaya zaKHmi mutala mera

KHuda gawah ki un ki zamin tang hui
durust karne chale the jo qafiya mera

tuyur aae magar un ki chonch KHali thi
farar ho gaya lashkar se abraha mera

ye kya hua ki achanak dahal uThe bachche
wo koi puchh raha hai wahan pata mera

bichhaD ke us se har ek shai bichhaD gai mujh se
usi ka aks dikhata hai aaina mera

mujhe guman ki mera zamir zinda hai
use yaqin ki sab kuchh hai wahima mera

har ek bala ka mujhi par nuzul hota hai
likha hua hai falak par kahin pata mera

falak-shigaf meri chiKH jab ubharti hai
sunai deta hai logon ko qahqaha mera

kise paDi hai jo gahraiyon mein utrega
yahan pe kaun samajhta hai falsafa mera

main barg-e-gul se karunga muqabla us ka
suna do ja ke ye qatil ko faisla mera

(460) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera written by Badr E Alam Khan Azmi at UrduPoint. Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera is one of the masterpieces written by Badr E Alam Khan Azmi. You can also find the complete poetry collection of Badr E Alam Khan Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Badr E Alam Khan Azmi' above.

Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tamam Qahr-o-bala Se Hai Wasta Mera, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.