Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein, Urdu Ghazal By Badr E Alam Khan Azmi

Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Badr E Alam Khan Azmi. Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگی کا ڈھنگ یہ کیسا ہے تیرے شہر میں

بدر عالم خاں اعظمی

زندگی کا ڈھنگ یہ کیسا ہے تیرے شہر میں

ایک روتا ہے تو اک ہنستا ہے تیرے شہر میں

ہاتھ میں پتھر لیے اک بھیڑ ہے ہر موڑ پر

ان دنوں میرا بہت چرچا ہے تیرے شہر میں

میرے سینے میں سلگتا ہے کوئی آتش فشاں

ہر قدم پر دل مرا جلتا ہے تیرے شہر میں

جن کے آنکھیں ہیں انہیں کچھ بھی نظر آتا نہیں

دیکھنے والا مگر اندھا ہے تیرے شہر میں

جب کوئی چڑھتا ہے اوپر کھینچ لیتے ہیں اسے

ایک گرتا ہے تو اک اٹھتا ہے تیرے شہر میں

لوگ سینچیں گے لہو سے لہلہاتی فصل کو

نفرتوں کے بیج وہ بوتا ہے تیرے شہر میں

جل رہی ہے دھیرے دھیرے دل کے رشتوں کی مٹھاس

کون ہے جو آگ بھڑکاتا ہے تیرے شہر میں

آستینوں میں ہیں خنجر پھر بھی ملتے ہیں گلے

دوستی کے نام پر دھوکہ ہے تیرے شہر میں

کس کی چیخوں سے لرزتے ہیں در و دیوار سب

کون ہے جو رات بھر روتا ہے تیرے شہر میں

پاؤں سے معذور ہو جاتا ہے خالص اور کھرا

ہاں وہی چلتا ہے جو کھوٹا ہے تیرے شہر میں

طنز کرتا ہے مری غربت پہ میرا ہی ضمیر

ہے برا وہ شخص جو اچھا ہے تیرے شہر میں

جنگلوں میں بھیڑیے کو بھیڑیا کھاتا نہیں

آدمی کو آدمی کھاتا ہے تیرے شہر میں

روز مرنے کی دعائیں مانگتی ہے زندگی

بس وہی زندہ ہے جو مردہ ہے تیرے شہر میں

کر دیا تعمیر اس کی قبر پر بیت الخلاء

ایک شاعر کس قدر رسوا ہے تیرے شہر میں

آندھیوں میں بجھ گئے ہیں شہر کے سارے چراغ

ایک روشن بس ترا چہرہ ہے تیرے شہر میں

بدر عالم خاں اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein

Badr E Alam Khan Azmi

zindagi ka Dhang ye kaisa hai tere shahr mein
ek rota hai to ek hansta hai tere shahr mein

hath mein patthar liye ek bhiD hai har moD par
in dinon mera bahut charcha hai tere shahr mein

mere sine mein sulagta hai koi aatish-fishan
har qadam par dil mera jalta hai tere shahr mein

jin ke aankhen hain unhen kuchh bhi nazar aata nahin
dekhne wala magar andha hai tere shahr mein

jab koi chaDhta hai upar khinch lete hain use
ek girta hai to ek uThta hai tere shahr mein

log sinchenge lahu se lahlahati fasl ko
nafraton ke bij wo bota hai tere shahr mein

jal rahi hai dhire dhire dil ke rishton ki miThas
kaun hai jo aag bhaDkata hai tere shahr mein

aastinon mein hain KHanjar phir bhi milte hain gale
dosti ke nam par dhoka hai tere shahr mein

kis ki chiKHon se larazte hain dar-o-diwar sab
kaun hai jo raat bhar rota hai tere shahr mein

panw se mazur ho jata hai KHalis aur khara
han wahi chalta hai jo khoTa hai tere shahr mein

tanz karta hai meri ghurbat pe mera hi zamir
hai bura wo shaKHs jo achchha hai tere shahr mein

jangalon mein bheDiye ko bheDiya khata nahin
aadmi ko aadmi khata hai tere shahr mein

roz marne ki duaen mangti hai zindagi
bas wahi zinda hai jo murda hai tere shahr mein

kar diya tamir us ki qabr par bait-ul-KHala
ek shair kis qadar ruswa hai tere shahr mein

aandhiyon mein bujh gae hain shahr ke sare charagh
ek raushan bas tera chehra hai tere shahr mein

(486) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein written by Badr E Alam Khan Azmi at UrduPoint. Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein is one of the masterpieces written by Badr E Alam Khan Azmi. You can also find the complete poetry collection of Badr E Alam Khan Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Badr E Alam Khan Azmi' above.

Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zindagi Ka Dhang Ye Kaisa Hai Tere Shahr Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.