Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai, Urdu Ghazal By Boom Merathi

Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Boom Merathi. Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شب وعدہ ادھر مجھ کو ہنسی سی آئی جاتی ہے

بوم میرٹھی

شب وعدہ ادھر مجھ کو ہنسی سی آئی جاتی ہے

ادھر ان کی نظر ہے خود بخود شرمائی جاتی ہے

ابے سالے رہا ہے رات بھر دشمن کے پہلو میں

ترے چہرے سے کچھ شرمندگی سی پائی جاتی ہے

دیا کرتے ہیں مجھ کو آتشیں رخسار کا بوسہ

سمجھتا ہوں طبیعت اب میری گرمائی جاتی ہے

بڑھاپا ہے کہ مجھ پر رات دن وہ آئے جاتا ہے

جوانی ہے کہ تجھ پر رات اور دن چھائی جاتی ہے

شب وعدہ انہیں سختی سے میں لپٹا تو فرمایا

اجی چھوڑو طبیعت اب میری گھبرائی جاتی ہے

یہ ایسا کام ہے جو سات پردوں میں نہیں چھپتا

کہیں بھی ہوں ہزاروں کوس تک رسوائی جاتی ہے

میری خلوت میں رکھی ہیں برہنہ تیری تصویریں

طبیعت بس انہیں سے رات دن بہلائی جاتی ہے

شب وعدہ بھی کوشش کر رہے ہیں مجھ سے بچنے کی

کچھ ایسی بات میرے کان میں سمجھائی جاتی ہے

ابے میں جانتا ہوں اس میں کوئی راز پنہاں ہے

رقیبوں سے میرے سر کی قسم جو کھائی جاتی ہے

ہزاروں رات گزریں اس طرح سے دل کو بہلاتے

وہ اب آتے ہیں اب تشریف ان کی آئی جاتی ہے

زمانہ ہو گیا اس کام کو اس بات کو گزرے

مگر چہرہ پہ اب بھی شرم سی کچھ پائی جاتی ہے

جوانی کا زمانہ پھر جوانی کا زمانہ ہے

بچے انسان کتنا ہی طبیعت آئی جاتی ہے

کلام اچھا سنائے یا سنائے فحش وہ غزلیں

جناب بومؔ سے محفل میں رونق آئی جاتی ہے

بوم میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai

Boom Merathi

shab-e-wada idhar mujh ko hansi si aai jati hai
udhar un ki nazar hai KHud-baKHud sharmai jati hai

abe sale raha hai raat bhar dushman ke pahlu mein
tere chehre se kuchh sharmindagi si pai jati hai

diya karte hain mujh ko aatishin ruKHsar ka bosa
samajhta hun tabiat ab meri garmai jati hai

buDhapa hai ki mujh par raat-din wo aae jata hai
jawani hai ki tujh par raat aur din chhai jati hai

shab-e-wada unhen saKHti se main lipTa to farmaya
aji chhoDo tabiat ab meri ghabrai jati hai

ye aisa kaam hai jo sat pardon mein nahin chhupta
kahin bhi hon hazaron kos tak ruswai jati hai

meri KHalwat mein rakkhi hain barahna teri taswiren
tabiat bas unhin se raat-din bahlai jati hai

shab-e-wada bhi koshish kar rahe hain mujh se bachne ki
kuchh aisi baat mere kan mein samjhai jati hai

abe main jaanta hun us mein koi raaz pinhan hai
raqibon se mere sar ki qasam jo khai jati hai

hazaron raat guzrin is tarah se dil ko bahlate
wo ab aate hain ab tashrif un ki aai jati hai

zamana ho gaya is kaam ko is baat ko guzre
magar chehre pe ab bhi sharm si kuchh pai jati hai

jawani ka zamana phir jawani ka zamana hai
bache insan kitna hi tabiat aai jati hai

kalam achchha sunae ya sunae fuhsh wo ghazlen
janab-e-'bum' se mahfil mein raunaq aai jati he

(627) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai written by Boom Merathi at UrduPoint. Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai is one of the masterpieces written by Boom Merathi. You can also find the complete poetry collection of Boom Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Boom Merathi' above.

Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shab-e-wada Idhar Mujhko Hansi Si Aai Jati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.