Tarkib-e-sarfi, Urdu Nazam By Chaudhary Mohammad Naeem

Tarkib-e-sarfi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Chaudhary Mohammad Naeem. Tarkib-e-sarfi comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Tarkib-e-sarfi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ترکیب صرفی

چودھری محمد نعیم

نوک مینار پہ اٹکی ہوئی قمری سے بھلا

کیا پتہ خاک چلا

''آسماں حد نظر ہے کہ کمیں گاہ رقیب؟''

میں بتاتا ہوں مگر اپنے سخن بیچ میں ہے

آسماں ایک کبوتر ہے کہ جس کے خوں کی

پیاس میں سیکڑوں عقاب اڑا کرتے ہیں

موت بدکار شرابی ہے پڑوسی میرا

روز دروازے کے اس پار جو گر جاتا ہے

زندگی ایک چھچھوندر ہے کہ جس کی بد بو

بوئے یوسف میں بھی ہے گریۂ یعقوب میں بھی

علم سرکس کے مداری کے دہن کا شعلہ

ذائقہ منہ کا بدلنے کو بہت کافی ہے

اور میں ایک حسیں خواب کہ جس میں گم ہے

خواب دیکھنے والا وہ کمیں گہہ کا رقیب

چودھری محمد نعیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tarkib-e-sarfi

Chaudhary Mohammad Naeem

nok-e-minar pe aTki hui qumri se bhala
kya pata KHak chala
aasman hadd-e-nazar hai ki kamin-gah-e-raqib?
mein batata hun magar apne suKHan bich mein hai
aasman ek kabutar hai ki jis ke KHun ki
pyas mein saikDon uqab uDa karte hain
maut badkar sharabi hai paDosi mera
roz darwaze ke us par jo gir jata hai
zindagi ek chhachhundar hai ki jis ki bad-bu
bu-e-yusuf mein bhi hai girya-e-yaqub mein bhi
ilm circus ke madari ke dahan ka shoala
zaiqa munh ka badalne ko bahut kafi hai
aur mein ek hasin KHwab ki jis mein gum hai
KHwab dekhne wala wo kamin-gah ka raqib

(870) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tarkib-e-sarfi written by Chaudhary Mohammad Naeem at UrduPoint. Tarkib-e-sarfi is one of the masterpieces written by Chaudhary Mohammad Naeem. You can also find the complete poetry collection of Chaudhary Mohammad Naeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Chaudhary Mohammad Naeem' above.

Tarkib-e-sarfi is a widely read Urdu Nazam. If you like Tarkib-e-sarfi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.