Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya, Urdu Ghazal By Ehtisham Ul Haq Siddiqui

Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ehtisham Ul Haq Siddiqui. Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نصیب اب کے خوشی بے حساب لے آیا

احتشام الحق صدیقی

نصیب اب کے خوشی بے حساب لے آیا

چراغ لینے گیا آفتاب لے آیا

ابھی جلا کے اٹھا ہوں پرانے خوابوں کو

وہ میرے واسطے پھر تازہ خواب لے آیا

پھر آج بھاؤ سمندر کا آسمان پہ تھا

پھر آج اپنے لئے میں سراب لے آیا

فسردہ دیکھ کے اس کو بہت پشیماں ہوں

میں ریگزار میں کیوں اک گلاب لے آیا

تجھے تو ہاں یا نہیں میں جواب دینا تھا

جواب میں تو مکمل کتاب لے آیا

ابھی چلا ہی تھا دل اک گناہ کرنے کو

کہ ذہن جا کے خیال عذاب لے آیا

احتشام الحق صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya

Ehtisham Ul Haq Siddiqui

nasib ab ke KHushi be-hisab le aaya
charagh lene gaya aaftab le aaya

abhi jala ke uTha hun purane KHwabon ko
wo mere waste phir taza KHwab le aaya

phir aaj bhaw samundar ka aasman pe tha
phir aaj apne liye main sarab le aaya

fasurda dekh ke us ko bahut pasheman hun
main regzar mein kyon ek gulab le aaya

tujhe to han ya nahin mein jawab dena tha
jawab mein tu mukammal kitab le aaya

abhi chala hi tha dil ek gunah karne ko
ki zehn ja ke KHayal-e-azab le aaya

(700) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya written by Ehtisham Ul Haq Siddiqui at UrduPoint. Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya is one of the masterpieces written by Ehtisham Ul Haq Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Ehtisham Ul Haq Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ehtisham Ul Haq Siddiqui' above.

Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nasib Ab Ke KHushi Be-hisab Le Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.