Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin, Urdu Ghazal By Faheemuddin Ahmad Faheem

Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faheemuddin Ahmad Faheem. Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہاں کیا کہا کہ غیر سے الفت بھی کچھ نہیں

فہیم الدین احمد فہیم

ہاں کیا کہا کہ غیر سے الفت بھی کچھ نہیں

یہ سچ اگر ہے پھر مجھے حجت بھی کچھ نہیں

شرب مدام کی مجھے عادت بھی کچھ نہیں

اور کوئی یوں پلائے تو نفرت بھی کچھ نہیں

پھر تم سے آ کے ملتے بھی ہیں روز روز وہ

غیروں سے تم کو ربط و محبت بھی کچھ نہیں

ہونا جو تھا وہ ہو چکا جاتی تھی جاں گئی

آنے کی تیرے اب تو ضرورت بھی کچھ نہیں

دیکھا جسے حسین بس اس پر پھسل پڑے

سچ کہتے ہو کہ ایسی طبیعت بھی کچھ نہیں

ناصح نہ بک فضول چلا جا نہ منہ کھلا

تو سن لے مجھ سے تیری حقیقت بھی کچھ نہیں

ہر روز چھیڑ چھیڑ کے کچھ تذکرہ بھی ہے

اور دخت رز پہ شیخ کی نیت بھی کچھ نہیں

نالے کو صرف منہ سے نکلنے کی دیر تھی

دیکھا تو آسماں کی حقیقت بھی کچھ نہیں

تیری وجہ سے پردۂ معشوق فاش ہو

اے شہرت جنوں تجھے غیرت بھی کچھ نہیں

اتنا تو ہے کہ تجھ سے وہ کچھ خوش نہیں فہیمؔ

یوں تیرے نام سے انہیں نفرت بھی کچھ نہیں

فہیم الدین احمد فہیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin

Faheemuddin Ahmad Faheem

han kya kaha ki ghair se ulfat bhi kuchh nahin
ye sach agar hai phir mujhe hujjat bhi kuchh nahin

shurb-e-mudam ki mujhe aadat bhi kuchh nahin
aur koi yun pilae to nafrat bhi kuchh nahin

phir tum se aa ke milte bhi hain roz roz wo
ghairon se tum ko rabt-o-mohabbat bhi kuchh nahin

hona jo tha wo ho chuka jati thi jaan gai
aane ki tere ab to zarurat bhi kuchh nahin

dekha jise hasin bas us par phisal paDe
sach kahte ho ki aisi tabiat bhi kuchh nahin

naseh na bak fuzul chala ja na munh khula
tu sun le mujh se teri haqiqat bhi kuchh nahin

har roz chheD chheD ke kuchh tazkira bhi hai
aur duKHt-e-raz pe shaiKH ki niyyat bhi kuchh nahin

nale ko sirf munh se nikalne ki der thi
dekha to aasman ki haqiqat bhi kuchh nahin

teri wajah se parda-e-mashuq fash ho
ai shohrat-e-junun tujhe ghairat bhi kuchh nahin

itna to hai ki tujh se wo kuchh KHush nahin 'fahim'
yun tere nam se unhen nafrat bhi kuchh nahin

(391) ووٹ وصول ہوئے

You can read Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin written by Faheemuddin Ahmad Faheem at UrduPoint. Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin is one of the masterpieces written by Faheemuddin Ahmad Faheem. You can also find the complete poetry collection of Faheemuddin Ahmad Faheem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faheemuddin Ahmad Faheem' above.

Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Han Kya Kaha Ki Ghair Se Ulfat Bhi Kuchh Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.