Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha, Urdu Ghazal By Guhar Khairabadi

Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Guhar Khairabadi. Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کے دامن میں جو سرمایۂ افکار نہ تھا

گہر خیرآبادی

دل کے دامن میں جو سرمایۂ افکار نہ تھا

زندگی تھی مگر اس کا کوئی معیار نہ تھا

جانے کیوں بات مری ان کو گراں بار ہوئی

لفظ ایسا تو کوئی شامل گفتار نہ تھا

کون سنتا مری کس کو میں صدائیں دیتا

ایسی غفلت تھی کہ احساس بھی بیدار نہ تھا

ہر طرف دھوپ تھی پھیلی ہوئی عریانی کی

سر چھپانے کو کہیں سایۂ کردار نہ تھا

آسماں چیر کے رکھ دیتی صدارت میری

وہ تو کہیے کوئی دشمن پس دیوار نہ تھا

زہر کا گھونٹ بالآخر اسے پینا ہی پڑا

بات یہ تھی وہ زمانے کا طرفدار نہ تھا

اس کی بیگانہ روی سے اسے سمجھا میں نے

تشنۂ‌ خون وفا تھا کرم آثار نہ تھا

جس کو دیکھا وہ حقائق پہ تھا پردہ ڈالے

آئینہ دار حقیقت کوئی کردار نہ تھا

اعتبار دل پر شوق بھی پیدا کرتے

کام آنے کا فقط جذبۂ ایثار نہ تھا

کام آنکھوں سے نہ لیتے تو بھلا کیا کرتے

درد پنہاں تھے بہت پر لب اظہار نہ تھا

سرفرازی مری قسمت میں نہ تھی ورنہ گہرؔ

نوک نیزہ پہ پہنچنا کوئی دشوار نہ تھا

گہر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha

Guhar Khairabadi

dil ke daman mein jo sarmaya-e-afkar na tha
zindagi thi magar us ka koi mear na tha

jaane kyun baat meri un ko giran-bar hui
lafz aisa to koi shamil-e-guftar na tha

kaun sunta meri kis ko main sadaen deta
aisi ghaflat thi ki ehsas bhi bedar na tha

har taraf dhup thi phaili hui uryani ki
sar chhupane ko kahin saya-e-kirdar na tha

aasman chir ke rakh deti sadarat meri
wo to kahiye koi dushman pas-e-diwar na tha

zahr ka ghunT bil-aKHir use pina hi paDa
baat ye thi wo zamane ka taraf-dar na tha

us ki begana-rawi se use samjha main ne
tishna-e-KHun-e-wafa tha karam-e-asar na tha

jis ko dekha wo haqaeq pe tha parda Dale
aaina-dar-e-haqiqat koi kirdar na tha

eatibar-e-dil-e-pur-shauq bhi paida karte
kaam aane ka faqat jazba-e-isar na tha

kaam aankhon se na lete to bhala kya karte
dard pinhan the bahut par lab-e-izhaar na tha

sarfaraazi meri qismat mein na thi warna 'guhar'
nok-e-neza pe pahunchna koi dushwar na tha

(678) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha written by Guhar Khairabadi at UrduPoint. Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha is one of the masterpieces written by Guhar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Guhar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Guhar Khairabadi' above.

Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ke Daman Mein Jo Sarmaya-e-afkar Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.