Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein, Urdu Ghazal By Haidar Qureshi

Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Qureshi. Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عجیب کرب و بلا کی ہے رات آنکھوں میں

حیدر قریشی

عجیب کرب و بلا کی ہے رات آنکھوں میں

سسکتی پیاس لبوں پر فرات آنکھوں میں

تمہیں تو گردش دوراں نے روند ڈالا ہے

رہی نہ کوئی بھی پہلی سی بات آنکھوں میں

قطار وار ستاروں کی جگمگاہٹ سے

سجا کے لائے ہیں غم کی برات آنکھوں میں

پھر اس کو دامن دل میں کہاں کہاں رکھیں

سمیٹ سکتے ہیں جو کائنات آنکھوں میں

بکھر گئے ہیں ملن کے تمام دن حیدرؔ

ٹھہر گئی ہے جدائی کی رات آنکھوں میں

حیدر قریشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein

Haidar Qureshi

ajib karb-o-bala ki hai raat aankhon mein
sisakti pyas labon par furaat aankhon mein

tumhein to gardish-e-dauran ne raund Dala hai
rahi na koi bhi pahli si baat aankhon mein

qatar-war sitaron ki jagmagahaT se
saja ke lae hain gham ki baraat aankhon mein

phir us ko daman dil mein kahan kahan rakkhen
sameT sakte hain jo kaenat aankhon mein

bikhar gae hain milan ke tamam din 'haidar'
Thahar gai hai judai ki raat aankhon mein

(748) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein written by Haidar Qureshi at UrduPoint. Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein is one of the masterpieces written by Haidar Qureshi. You can also find the complete poetry collection of Haidar Qureshi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Qureshi' above.

Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ajib Karb-o-bala Ki Hai Raat Aankhon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.