Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma, Urdu Ghazal By Hira Qasmi

Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hira Qasmi. Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حالات اپنے زار نہ باغات خوش نما

حرا قاسمی

حالات اپنے زار نہ باغات خوش نما

تجھ سے بچھڑ کے ہو گئے معزول خوش ادا

وقت زوال آیا تو پر خار بن گیا

وہ لہجۂ شگفتہ وہ انداز دل ربا

پھیلی ہے چار سو یہاں غم ناک سیاہی

اے رہبران شوق رہ تیرگی مٹا

بزم خیال یوں تو بہت تابناک تھی

لیکن درون دل کا اندھیرا نہ مٹ سکا

کھلتا نہیں ہے شاخ دعا پر کوئی ثمر

اے بخت کے امیں تو کوئی معجزہ دکھا

اب پار کیسے آئیں بتا رہنمائے وقت

کشتی ہے آب غرق تو سوتا ہے ناخدا

تا عمر جس کے ساتھ حراؔ گامزن رہے

وہ شخص کہہ رہا ہے ہمیں آج بے نوا

حرا قاسمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma

Hira Qasmi

haalat apne zar na baghat KHushnuma
tujh se bichhaD ke ho gae mazul KHush-ada

waqt-e-zawal aaya to pur-KHar ban gaya
wo lahja-e-shagufta wo andaz-e-dil-ruba

phaili hai chaar su yahan ghamnak siyahi
ai rahbaran-e-shauq rah-e-tiragi miTa

bazm-e-KHayal yun to bahut tabnak thi
lekin darun-e-dil ka andhera na miT saka

khulta nahin hai shaKH-e-dua par koi samar
ai baKHt ke amin tu koi moajiza dikha

ab par kaise aaen bata rahnuma-e-waqt
kashti hai aab-gharq to sota hai naKHuda

ta-umr jis ke sath 'hira' gamzan rahe
wo shaKHs kah raha hai hamein aaj be-nawa

(510) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma written by Hira Qasmi at UrduPoint. Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma is one of the masterpieces written by Hira Qasmi. You can also find the complete poetry collection of Hira Qasmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hira Qasmi' above.

Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haalat Apne Zar Na Baghat KHushnuma, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.