Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho, Urdu Ghazal By Inam Sharar Ayyubi

Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Inam Sharar Ayyubi. Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل و دماغ کی ضد ہے کہ اپنے گھر میں رہو

انعام شرر ایوبی

دل و دماغ کی ضد ہے کہ اپنے گھر میں رہو

مزاج کہتا ہے ہر وقت اک سفر میں رہو

وجود کچھ نہ رہے صرف اس طرح ہو جاؤ

رہو تو ایسے کہ ہر لمحہ ہر نظر میں رہو

جھلس رہے ہیں کئی جسم سائبانوں میں

کس اعتبار پہ پھر سایۂ شجر میں رہو

کسی درخت سے مانگو نہ سائے کی خیرات

نبرد آزما سورج سے دوپہر میں رہو

دل شررؔ میں نہیں کچھ بھی تجربوں کے سوا

جو رہنا ہے تو تمازت بنو شرر میں رہو

انعام شرر ایوبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho

Inam Sharar Ayyubi

dil-o-dimagh ki zid hai ki apne ghar mein raho
mizaj kahta hai har waqt ek safar mein raho

wajud kuchh na rahe sirf is tarah ho jao
raho to aise ki har lamha har nazar mein raho

jhulas rahe hain kai jism saebanon mein
kis e'tibar pe phir saya-e-shajar mein raho

kisi daraKHt se mango na sae ki KHairaat
nabard-azma suraj se dopahar mein raho

dil-e-'sharar' mein nahin kuchh bhi tajrabon ke siwa
jo rahna hai to tamazat bano sharar mein raho

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho written by Inam Sharar Ayyubi at UrduPoint. Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho is one of the masterpieces written by Inam Sharar Ayyubi. You can also find the complete poetry collection of Inam Sharar Ayyubi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Inam Sharar Ayyubi' above.

Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil-o-dimagh Ki Zid Hai Ki Apne Ghar Mein Raho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.