Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka, Urdu Ghazal By Ismail Merathi

Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ismail Merathi. Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہیں سے جب کہ اشارہ ہو خود نمائی کا

اسماعیل میرٹھی

وہیں سے جب کہ اشارہ ہو خود نمائی کا

عجب کہ بندہ نہ دعویٰ کرے خدائی کا

ملے جو رتبہ ترے در کی جبہہ‌ سائی کا

تو ایک سلسلہ ہو شاہی‌ و گدائی کا

نہیں ہے فیض میں خست ولیک پیدا ہے

تفاوت آئنہ و‌‌ سنگ میں صفائی کا

یہاں جو عشق ہے بیتاب جلوۂ دیدار

وہاں بھی حسن محرک ہے خود نمائی کا

بتوں کے سامنے بت گر گھسے جبین نیاز

میں شیفتہ ہوں تری شان کبریائی کا

نہ کر کسی کی برائی نہ بن بھلے سے برا

بھلا بھلا ہے برا کام ہے برائی کا

بنائیں بگڑی ہوئی کو تو ایک بات بھی ہے

بگاڑنا نہیں مشکل بنی بنائی کا

اٹھا حجاب تو بس دین و دل دئے ہی بنی

جناب شیخ کو دعویٰ تھا پارسائی کا

تمہارے دل سے کدورت مٹائے تو جانیں

کھلا ہے شہر میں اک محکمہ صفائی کا

ہوس ہے گر سر و ساماں کے جمع کرنے کی

تلاش کر سر و سامان بے نوائی کا

سوائے عشق نہیں کوئی رہبر چالاک

وہاں خرد کو نہیں حوصلہ رسائی کا

اسی کا وصف ہے مقصود شعر خوانی سے

اسی کا ذکر ہے منشا غزل سرائی کا

نہیں ہے اب کے زمانہ کی یہ روش زنہار

میں یادگار ہوں ؔخاقانیؔ و سنائی کا

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka

Ismail Merathi

wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka
ajab ki banda na dawa kare KHudai ka

mile jo rutba tere dar ki jabah-sai ka
to ek silsila ho shahi-o-gadai ka

nahin hai faiz mein KHissat wa-lek paida hai
tafawut aaina-o-sang mein safai ka

yahan jo ishq hai betab-e-jalwa-e-didar
wahan bhi husn muharrik hai KHud-numai ka

buton ke samne but-gar ghise jabin-e-niyaz
main shefta hun teri shan-e-kibriyai ka

na kar kisi ki burai na ban bhale se bura
bhala bhala hai bura kaam hai burai ka

banaen bigDi hui ko to ek baat bhi hai
bigaDna nahin mushkil bani-banai ka

uTha hijab to bas din-o-dil diye hi bani
janab-e-shaiKH ko dawa tha parsai ka

tumhaare dil se kudurat miTae to jaanen
khula hai shahr mein ek mahkama safai ka

hawas hai gar sar-o-saman ke jama karne ki
talash kar sar-o-saman be-nawai ka

siwae ishq nahin koi rahbar-e-chaalak
wahan KHirad ko nahin hausla rasai ka

usi ka wasf hai maqsud sher-KHwani se
usi ka zikr hai mansha ghazal-sarai ka

nahin hai ab ke zamane ki ye rawish zinhaar
main yaadgar hun 'KHaqani'-o-'sanai' ka

(449) ووٹ وصول ہوئے

You can read Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka written by Ismail Merathi at UrduPoint. Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho KHud-numai Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.