Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz, Urdu Nazam By Khalid Irfan

Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Irfan. Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عالیؔ جی کی گمشدہ بیاض

خالد عرفان

بیاض چوری ہوئی ہے جناب عالیؔ کی

بیاض چور نے چوری بڑی مثالی کی

ضرور چور کوئی سارق ادب ہوگا

اسے بیاض چرانے کا خاص ڈھب ہوگا

میں ایسے چور کی دانش وری پہ ہوں حیران

جو ایک رات میں بن بیٹھا صاحب دیوان

جناب عالیؔ کے کالم تھے جتنے مطبوعہ

سمجھ کے چھوڑ گیا ان کو نثر ممنوعہ

عجیب چور تھا نثری کلام چھوڑ گیا

بیاض لے گیا کالم تمام چھوڑ گیا

غزل کے ساتھ گئی مثنوی بھی دوہا بھی

تمام شہر نے مانا تھا جس کا لوہا بھی

چھپا ہوا تھا جو شاعر نکل رہا ہوگا

وہ اس بیاض کے مقطع بدل رہا ہوگا

جناب عالیؔ کی فکر جمیل تھی یہ بیاض

رباعیوں میں بڑی خود کفیل تھی یہ بیاض

جس انجمن میں یہ جاتی تھی حشر کرتی تھی

ادب کے ساتھ سیاست بھی نشر کرتی تھی

مشاعروں میں بصد احترام آتی تھی

یہی بیاض مصیبت میں کام آتی تھی

اسی بیاض سے دوہوں کو آزمانا تھا

وہ شاخ ہی نہ رہی جس پہ آشیانہ تھا

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz

Khalid Irfan

bayaz chori hui hai janab-e-'ali' ki
bayaz-chor ne chori baDi misali ki
zarur chor koi sariq-e-adab hoga
use bayaz churane ka KHas Dhab hoga
main aise chor ki danish-wari pe hun hairan
jo ek raat mein ban baiTha sahab-e-diwan
janab-e-'ali' ke column the jitne matbua
samajh ke chhoD gaya un ko nasr-e-mamnua
ajib chor tha nasri kalam chhoD gaya
bayaz le gaya column tamam chhoD gaya
ghazal ke sath gai masnawi bhi doha bhi
tamam shahr ne mana tha jis ka loha bhi
chhupa hua tha jo shair nikal raha hoga
wo is bayaz ke maqte badal raha hoga
janab-e-'ali' ki fikr-e-jamil thi ye bayaz
rubaiyon mein baDi KHud-kafil thi ye bayaz
jis anjuman mein ye jati thi hashr karti thi
adab ke sath siyasat bhi nashr karti thi
mushaeron mein ba-sad ehtiram aati thi
yahi bayaz musibat mein kaam aati thi
isi bayaz se dohon ko aazmana tha
wo shaKH hi na rahi jis pe aashiyana tha

(639) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz written by Khalid Irfan at UrduPoint. Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz is a widely read Urdu Nazam. If you like Aali-ji Ki Gum-shuda Bayaz, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.