TaKHrib-karon Ki Shahadat, Urdu Nazam By Khalid Irfan

TaKHrib-karon Ki Shahadat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Irfan. TaKHrib-karon Ki Shahadat comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read TaKHrib-karon Ki Shahadat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تخریب کاروں کی شہادت

خالد عرفان

ایک دن جنت میں بولا اک شہید حق شناس

مسلک حق پر نہیں ہے میری جنت کی اساس

قاتل و ظالم در جنت پہ منڈلانے لگے

ارض پاکستان سے کتنے شہید آنے لگے

سامنے جنت کے یہ جو خیمۂ ارواح ہے

یہ انہیں جعلی شہیدوں کی اقامت گاہ ہے

یہ شہید حق سمجھ بیٹھے ہیں اپنے آپ کو

میں تو جنت میں نہ آنے دوں گا ان کے باپ کو

یہ اگر جنت میں داخل ہو گئے صرف ایک بار

پھر کہاں جائیں گے ہم جیسے شہید حق شعار

دودھ کی نہروں میں کچھ پانی ملا دیں گے یہ لوگ

شہد کی ندی کو ٹھیکے پر اٹھا دیں گے یہ لوگ

قومیت کا مسئلہ پھر سے جگا دیں گے یہ لوگ

میری جنت کے کئی صوبے بنا دیں گے یہ لوگ

دہشتیں جنت میں لے آئیں گے پاکستان سے

حور کو اغوا کرا لیں گے کسی غلمان سے

آئیے میں ان شہیدوں کو ملاؤں آپ سے

آپ تھوڑی دور ہیں جنت کے بس اسٹاپ سے

آپ سے ملئے یہ دشمن کے بہت ہمدرد ہیں

آپ شکلاً ہی نہیں نسلاً بھی دہشت گرد ہیں

دہشتیں اک پالسی ہیں جس کے میکر آپ ہیں

تیسری دنیا کے پہلے ہائی جیکر آپ ہیں

یہ شہید با وفا ہیں مارتے تھے بول کے

ریل کی پٹری کے پرزے درمیاں سے کھول کے

لمحۂ ڈاکہ زنی سینے پہ گولی کھائی تھی

آپ نے اک بینک کے اندر شہادت پائی تھی

آپ پاکستان کے اک رہبر ممتاز ہیں

سینکڑوں روحیں یہاں بھی ان کی ہم آواز ہیں

پھر شہید حق یہ بولا اے خدائے ذو الجلال

عالم ارواح سے جعلی شہیدوں کو نکال

قادر مطلق ہے تو ان کو دوبارہ ایج دے

ان شہیدوں کو تو دنیا ہی میں واپس بھیج دے

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

TaKHrib-karon Ki Shahadat

Khalid Irfan

ek din jannat mein bola ek shahid-e-haq-shanas
maslak-e-haq par nahin hai meri jannat ki asas

qatil o zalim dar-e-jannat pe manDlane lage
arz-e-pakistan se kitne shahid aane lage

samne jannat ke ye jo KHema-e-arwah hai
ye inhin jali shahidon ki iqamat-gah hai

ye shahid-e-haq samajh baiThe hain apne-ap ko
main to jannat mein na aane dunga in ke bap ko

ye agar jannat mein daKHil ho gae sirf ek bar
phir kahan jaenge hum jaise shahid-e-haq-shiar

dudh ki naharon mein kuchh pani mila denge ye log
shahad ki naddi ko Theke par uTha denge ye log

qaumiyat ka masala phir se jaga denge ye log
meri jannat ke kai sube bana denge ye log

dahshaten jannat mein le aaenge pakistan se
hur ko ighwa kara lenge kisi ghilman se

aaie main in shahidon ko milaun aap se
aap thoDi dur hain jannat ke bus-stop se

aap se miliye ye dushman ke bahut hamdard hain
aap shaklan hi nahin naslan bhi dahshat-gard hain

dahshaten ek policy hain jis ke maker aap hain
tisri duniya ke pahle high-jecker aap hain

ye shahid-e-ba-wafa hain marte the bol ke
rail ki paTri ke purze darmiyan se khol ke

lamha-e-Daka-zani sine pe goli khai thi
aap ne ek bank ke andar shahadat pai thi

aap pakistan ke ek rahbar-e-mumtaz hain
sainkaDon ruhen yahan bhi in ki ham-awaz hain

phir shahid-e-haq ye bola ai KHuda-e-zul-jalal
aalam-e-arwah se jali shahidon ko nikal

qadir-e-mutlaq hai tu in ko dobara age de
in shahidon ko tu duniya hi mein wapas bhej de

(796) ووٹ وصول ہوئے

You can read TaKHrib-karon Ki Shahadat written by Khalid Irfan at UrduPoint. TaKHrib-karon Ki Shahadat is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

TaKHrib-karon Ki Shahadat is a widely read Urdu Nazam. If you like TaKHrib-karon Ki Shahadat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.