Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte, Urdu Ghazal By Khalid Mahmood

Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalid Mahmood. Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو سورج ہو تو ہر منظر اجالا کیوں نہیں کرتے

خالد محمود

جو سورج ہو تو ہر منظر اجالا کیوں نہیں کرتے

یہ آٹھوں پہر کی راتیں سویرا کیوں نہیں کرتے

تعجب ہے مجھی کو اپنی محفل میں نہیں دیکھا

نہیں دیکھا اگر تم نے تو دیکھا کیوں نہیں کرتے

چراتا ہے وہ پہلے نیند پھر شوخی سے کہتا ہے

یہ شب بھر جاگتے رہتے ہو سویا کیوں نہیں کرتے

حساب دوستاں اے دل خیال نیک ہے لیکن

تمہارے پاس بھی دل ہے تم ایسا کیوں نہیں کرتے

مرے بھائی اگر تیراک بننا چاہتے ہو تم

تو دریا کے کنارے سے کنارہ کیوں نہیں کرتے

اٹھا کر روز لے جاتا ہے میرے خواب کا منظر

وہ مجھ سے روز کہتا ہے بھروسہ کیوں نہیں کرتے

تو دن کو عشق کی باتیں سمجھ ہی میں نہیں آئیں

سمجھ ہی میں نہیں آئیں تو سمجھا کیوں نہیں کرتے

دلوں کا قرض رقموں سے ادا ہوتا نہیں خالدؔ

بہت آساں ہے یہ کہنا تقاضا نہیں کرتے

خالد محمود

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte

Khalid Mahmood

jo suraj ho to har manzar ujala kyun nahin karte
ye aaThon pahr ki raaten sawera kyun nahin karte

tajjub hai mujhi ko apni mahfil mein nahin dekha
nahin dekha agar tum ne to dekha kyun nahin karte

churaata hai wo pahle nind phir shoKHi se kahta hai
ye shab bhar jagte rahte ho soya kyun nahin karte

hisab-e-dostan ai dil KHayal-e-nek hai lekin
tumhaare pas bhi dil hai tum aisa kyun nahin karte

mere bhai agar tairak banna chahte ho tum
to dariya ke kinare se kinara kyun nahin karte

uTha kar roz le jata hai mere KHwab ka manzar
wo mujh se roz kahta hai bharosa kyun nahin karte

to din ko ishq ki baaten samajh hi mein nahin aaen
samajh hi mein nahin aain to samjha kyun nahin karte

dilon ka qarz raqmon se ada hota nahin 'KHalid'
bahut aasan hai ye kahna taqaza nahin karte

(678) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte written by Khalid Mahmood at UrduPoint. Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte is one of the masterpieces written by Khalid Mahmood. You can also find the complete poetry collection of Khalid Mahmood by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Mahmood' above.

Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.