Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye, Urdu Ghazal By Khurshid Khawar Amrohvi

Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khurshid Khawar Amrohvi. Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تمام عیش و طرب ہیں فقط اسی کے لئے

خورشید خاور امروہوی

تمام عیش و طرب ہیں فقط اسی کے لئے

خرد سے کام لیا جس نے زندگی کے لئے

یہ ارتقائے خرد ہے کہ انتہائے جنوں

جنوں نواز بنے ہیں جو آگہی کے لئے

چمک رہے ہیں جو قطرات خوں سر مژگاں

یہ اہتمام چراغاں ہے آپ ہی کے لئے

جہاں گمان بھی ہو آپ کے گزرنے کا

وہیں جھکا دیا سر میں نے بندگی کے لئے

مہہ‌ و نجوم پہ ڈالی گئی کمند شعور

یہ التزام ہے دو دن کی زندگی کے لئے

یہ جشن عیش و طرب آپ ہی کے دم سے ہے

ہوئے ہیں آپ تو پیدا ہی دلبری کے لئے

لہو سے اپنے جلا کر چراغ آنکھوں میں

حریم دل کو سجایا ہے آپ ہی کے لئے

اسی کے واسطے چمکے ہیں کوکب تقدیر

چراغ ہوش بھی روشن ہے آدمی کے لئے

سمجھ سکا نہ انا الحق کے راز کو خاورؔ

یہ ایک کھیل تھا عرفاں کے منتہی کے لئے

خورشید خاور امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye

Khurshid Khawar Amrohvi

tamam aish-o-tarab hain faqat usi ke liye
KHirad se kaam liya jis ne zindagi ke liye

ye irtiqa-e-KHirad hai ki intiha-e-junun
junun-nawaz bane hain jo aagahi ke liye

chamak rahe hain jo qatraat-e-KHun sar-e-mizhgan
ye ehtimam-e-charaghan hai aap hi ke liye

jahan guman bhi ho aap ke guzarne ka
wahin jhuka diya sar main ne bandagi ke liye

mah-o-nujum pe Dali gai kamand-e-shuur
ye iltizam hai do din ki zindagi ke liye

ye jashn-e-aish-o-tarab aap hi ke dam se hai
hue hain aap to paida hi dilbari ke liye

lahu se apne jala kar charagh aankhon mein
harim-e-dil ko sajaya hai aap hi ke liye

usi ke waste chamke hain kaukab-e-taqdir
charagh-e-hosh bhi raushan hai aadmi ke liye

samajh saka na anal-haq ke raaz ko 'KHawar'
ye ek khel tha irfan ke muntahi ke liye

(325) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye written by Khurshid Khawar Amrohvi at UrduPoint. Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye is one of the masterpieces written by Khurshid Khawar Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Khurshid Khawar Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khurshid Khawar Amrohvi' above.

Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tamam Aish-o-tarab Hain Faqat Usi Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.