Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai, Urdu Ghazal By Khwaja Shauq

Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Shauq. Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نغمے خوابیدہ ہیں نالوں کا اثر تک چپ ہے

خواجہ شوق

نغمے خوابیدہ ہیں نالوں کا اثر تک چپ ہے

آپ کیا چپ ہیں فضا حد نظر تک چپ ہے

شام تک میکدہ گلزار سحر تک چپ ہے

زندگی وقت کی تجدید سفر تک چپ ہے

ساتھ تھے آپ تو منزل بھی صدا دیتی تھی

اب یہ عالم ہے کہ ہر راہ گزر تک چپ ہے

کس کو آواز دیں اس بولتے سناٹے میں

جس طرف دیکھیے دیوار سے در تک چپ ہے

آنکھ درکار ہے جذبوں کو سمجھنے کے لئے

چہرہ کیا کہہ سکے جب دیدۂ تر تک چپ ہے

بے شعوروں نے اٹھا رکھی ہے دنیا سر پر

ہوش مندوں کی زباں کیا ہے نظر تک چپ ہے

کس سے پوچھوں کہ نشیمن مرا کس نے پھونکا

بوئے گل باد صبا شاخ شجر تک چپ ہے

دل ہے خاموش تو خاموش ہے دنیا ساری

ایک عالم ہے ادھر سے جو ادھر تک چپ ہے

شوقؔ زندان جہاں منزل فریاد نہیں

اس خرابے میں تو سانسوں کا سفر تک چپ ہے

خواجہ شوق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai

Khwaja Shauq

naghme KHwabida hain nalon ka asar tak chup hai
aap kya chup hain faza hadd-e-nazar tak chup hai

sham tak mai-kada gulzar-e-sahar tak chup hai
zindagi waqt ki tajdid-e-safar tak chup hai

sath the aap to manzil bhi sada deti thi
ab ye aalam hai ki har rahguzar tak chup hai

kis ko aawaz den is bolte sannaTe mein
jis taraf dekhiye diwar se dar tak chup hai

aankh darkar hai jazbon ko samajhne ke liye
chehra kya kah sake jab dida-e-tar tak chup hai

be-shuuron ne uTha rakkhi hai duniya sar par
hosh-mandon ki zaban kya hai nazar tak chup hai

kis se puchhun ki nasheman mera kis ne phunka
bu-e-gul baad-e-saba shaKH-e-shajar tak chup hai

dil hai KHamosh to KHamosh hai duniya sari
ek aalam hai idhar se jo udhar tak chup hai

'shauq' zindan-e-jahan manzil-e-fariyaad nahin
is KHarabe mein to sanson ka safar tak chup hai

(513) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai written by Khwaja Shauq at UrduPoint. Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai is one of the masterpieces written by Khwaja Shauq. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Shauq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Shauq' above.

Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Naghme KHwabida Hain Nalon Ka Asar Tak Chup Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.