Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main, Urdu Ghazal By Liaqat Jafri

Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Liaqat Jafri. Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لفظ کو الہام معنی کو شرر سمجھا تھا میں

لیاقت جعفری

لفظ کو الہام معنی کو شرر سمجھا تھا میں

درحقیقت عیب تھا جس کو ہنر سمجھا تھا میں

روشنی تھی آنکھ تھی منظر تھا پھر کچھ بھی نہ تھا

ہائے کس آشوب کو اپنی نظر سمجھا تھا میں

آسمانوں کو لپکتے ہیں زمیں زادے سبھی

مرغ آدم زاد کو بے بال و پر سمجھا تھا میں

''کن'' کا افسون ازل پھونکا گیا تھا جس گھڑی

مجھ کو اب بھی یاد ہے بار دگر سمجھا تھا میں

ہے کوئی؟ جو میرے اس لمحے پہ گریہ کر سکے

جب مجھے بالکل سمجھ نہ تھی مگر سمجھا تھا میں

اپنے بچوں کی طرح اس نے اڑایا مجھ کو ساتھ

جس ہوائے تند خو کو در بہ در سمجھا تھا میں

مجھ پہ فرسودہ عقائد کی عجب یلغار تھی

چھوٹے چھوٹے وسوسوں کو خیر و شر سمجھا تھا میں

ریگزار شب گزیدہ تجھ میں تاحد نظر

دھوپ کا آسیب تھا جس کو شجر سمجھا تھا میں

بے سر و سامانیوں کی انتہا تھی جعفریؔ

جب در و دیوار کو دیوار و در سمجھا تھا میں

باب حیرت جب تلک کھلتا لیاقت جعفریؔ

قیس کو فرہاد کو آشفتہ سر سمجھا تھا میں

لیاقت جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main

Liaqat Jafri

lafz ko ilham mani ko sharar samjha tha main
dar-haqiqat aib tha jis ko hunar samjha tha main

raushni thi aankh thi manzar tha phir kuchh bhi na tha
hae kis aashob ko apni nazar samjha tha main

aasmanon ko lapakte hain zamin-zade sabhi
murgh-e-adam-zad ko be-baal-o-par samjha tha main

kun ka afsun-e-azal phunka gaya tha jis ghaDi
mujh ko ab bhi yaad hai bar-e-digar samjha tha main

hai koi? jo mere is lamhe pe girya kar sake
jab mujhe bilkul samajh na thi magar samjha tha main

apne bachchon ki tarah us ne uDaya mujh ko sath
jis hawa-e-tund-KHu ko dar-ba-dar samjha tha main

mujh pe farsuda aqaed ki ajab yalghaar thi
chhoTe chhoTe waswason ko KHair-o-shar samjha tha main

regzar-e-shab-gazida tujh mein ta-hadd-e-nazar
dhup ka aaseb tha jis ko shajar samjha tha main

be-sar-o-samaniyon ki intiha thi 'jafari'
jab dar-o-diwar ko diwar-o-dar samjha tha main

bab-e-hairat jab talak khulta liyaqat-'jafari'
qais ko farhad ko aashufta-sar samjha tha main

(583) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main written by Liaqat Jafri at UrduPoint. Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main is one of the masterpieces written by Liaqat Jafri. You can also find the complete poetry collection of Liaqat Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Liaqat Jafri' above.

Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.