Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha, Urdu Ghazal By Mariyam Fatima

Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mariyam Fatima. Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان کا جانا تو اک بہانا تھا

مریم فاطمہ

ان کا جانا تو اک بہانا تھا

موت کو یوں بھی جلد آنا تھا

بے خودی میں اسے بتا بیٹھے

راز جو خود سے بھی چھپانا تھا

کیوں نہ آتے خوشی خوشی طائر

دام میں مفت آب و دانہ تھا

دل تجھے کیوں سکوں نہیں پڑتا

کیا ابھی اور کچھ لٹانا تھا

سخت اک مرحلہ تھی یاد تری

اور اس پر تجھے بھلانا تھا

تلخ ہر بات سچ نہیں ہوتی

ان کا مقصد تو دل دکھانا تھا

اور بھی خواہشیں تھیں دنیا میں

دل کہیں اور لگ ہی جانا تھا

مریم فاطمہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha

Mariyam Fatima

un ka jaana to ek bahana tha
maut ko yun bhi jald aana tha

be-KHudi mein use bata baiThe
raaz jo KHud se bhi chhupana tha

kyon na aate KHushi KHushi tair
dam mein muft aab-o-dana tha

dil tujhe kyon sukun nahin paDta
kya abhi aur kuchh luTana tha

saKHt ek marhala thi yaad teri
aur us par tujhe bhulana tha

talKH har baat sach nahin hoti
un ka maqsad to dil dukhana tha

aur bhi KHwahishen thin duniya mein
dil kahin aur lag hi jaana tha

(684) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha written by Mariyam Fatima at UrduPoint. Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha is one of the masterpieces written by Mariyam Fatima. You can also find the complete poetry collection of Mariyam Fatima by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mariyam Fatima' above.

Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Un Ka Jaana To Ek Bahana Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.