Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin, Urdu Ghazal By Mazhar Imam

Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mazhar Imam. Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میرا فن میری غزل تیرا اشارا تو نہیں

مظہر امام

میرا فن میری غزل تیرا اشارا تو نہیں

حسن تیرا اسی پردے میں خود آرا تو نہیں

دم ظلمت بھی جو آنکھوں میں ہے تصویر سحر

ہاتھ کچھ اس میں بھی اے دوست تمہارا تو نہیں

کاکل وقت میں سلجھاؤ نظر آتا ہے

آپ نے زلف پریشاں کو سنوارا تو نہیں

میرے احساس کی وادی میں شفق سی جھلکی

مجھ کو دوشیزۂ فطرت نے پکارا تو نہیں

دامن حسن سے کچھ اور سلگ اٹھتی ہے

عشق کی آنکھ میں شبنم بھی شرارا تو نہیں

مانتا ہوں کہ کنارے کی تمنا ہے مجھے

میں نے طوفاں سے کیا پھر بھی کنارا تو نہیں

خون گلشن ہے پس پردۂ اعلان بہار

دیکھنا غنچۂ نورس میں شرارا تو نہیں

پھر نئے سر سے پر و بال میں جنبش سی ہوئی

نرگس شاہد گل کا یہ اشارا تو نہیں

تھم گئی صوت جرس رک گئے رہبر کے قدم

کسی گم کردۂ منزل نے پکارا تو نہیں

میں نے مانا ترے کوچے میں قدم اٹھ نہ سکے

زیست کی دوڑ میں لیکن کبھی ہارا تو نہیں

مظہر امام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin

Mazhar Imam

mera fan meri ghazal tera ishaara to nahin
husn tera isi parde mein KHud-ara to nahin

dam-e-zulmat bhi jo aankhon mein hai taswir-e-sahar
hath kuchh is mein bhi ai dost tumhaara to nahin

kakul-e-waqt mein suljhaw nazar aata hai
aap ne zulf-e-pareshan ko sanwara to nahin

mere ehsas ki wadi mein shafaq si jhalki
mujh ko doshiza-e-fitrat ne pukara to nahin

daman-e-husn se kuchh aur sulag uThti hai
ishq ki aankh mein shabnam bhi sharara to nahin

manta hun ki kinare ki tamanna hai mujhe
main ne tufan se kiya phir bhi kinara to nahin

KHun-e-gulshan hai pas-e-parda-e-ailan-e-bahaar
dekhna ghuncha-e-nauras mein sharara to nahin

phir nae sar se par-o-baal mein jumbish si hui
nargis-e-shahid-e-gul ka ye ishaara to nahin

tham gai saut-e-jaras ruk gae rahbar ke qadam
kisi gum-karda-e-manzil ne pukara to nahin

main ne mana tere kuche mein qadam uTh na sake
zist ki dauD mein lekin kabhi haara to nahin

(406) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin written by Mazhar Imam at UrduPoint. Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin is one of the masterpieces written by Mazhar Imam. You can also find the complete poetry collection of Mazhar Imam by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mazhar Imam' above.

Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.