Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya, Urdu Ghazal By Moazzam Ali Khan

Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Moazzam Ali Khan. Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اجنبی شہر میں گھر یاد آیا

معظم علی خاں

اجنبی شہر میں گھر یاد آیا

دھوپ دیکھی تو شجر یاد آیا

قلب دولت کو تمنائے سکوں

ذہن افلاس کو زر یاد آیا

بند دروازے پہ دستک سن کر

ہے دعاؤں میں اثر یاد آیا

دشت افکار کی وسعت یا رب

کوئی دیوار نہ در یاد آیا

کیف آور ترے لہجے کی کھنک

نشۂ زود اثر یاد آیا

قصر امروز میں اردو دیکھی

لال قلعہ میں ظفرؔ یاد آیا

چند اشعار معظمؔ کہہ کر

آج غالبؔ کا ہنر یاد آیا

معظم علی خاں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya

Moazzam Ali Khan

ajnabi shahr mein ghar yaad aaya
dhup dekhi to shajar yaad aaya

qalb-e-daulat ko tamanna-e-sukun
zehn-e-iflas ko zar yaad aaya

band darwaze pe dastak sun kar
hai duaon mein asar yaad aaya

dasht-e-afkar ki wusat ya-rab
koi diwar na dar yaad aaya

kaif-awar tere lahje ki khanak
nashsha-e-zud-asar yaad aaya

qasr-e-imroz mein urdu dekhi
lal qila mein 'zafar' yaad aaya

chand ashaar-e-'muazzam' kah kar
aaj 'ghaalib' ka hunar yaad aaya

(733) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya written by Moazzam Ali Khan at UrduPoint. Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya is one of the masterpieces written by Moazzam Ali Khan. You can also find the complete poetry collection of Moazzam Ali Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Moazzam Ali Khan' above.

Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ajnabi Shahr Mein Ghar Yaad Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.