TariKH Yahi Kahti Hai, Urdu Nazam By Mohammad Salim

TariKH Yahi Kahti Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Salim. TariKH Yahi Kahti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read TariKH Yahi Kahti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تاریخ یہی کہتی ہے

محمد سالم

یہ جو کہا جاتا ہے بھائی

عشق بھی تولا جاتا ہے

سچ ہے یہ قول بھی

ویسے تو تاریخ بھی

اپنے آپ کو دہراتی ہے

جانچ میں

سچا اترا ہے جب کوئی

پھر تو وہی صادق کہلاتا ہے

تاریخ یہی کہتی ہے

عشق میں

آگ کے

ڈھیروں پر لیٹا جاتا ہے

جس کی خاطر

اپنے بچے کی گردن پہ

چھری بھی پھیری جاتی ہے

تاریخ یہی کہتی ہے

عشق میں

کودا بھی جاتا ہے

سمندر میں

اور جس کی خاطر

پیٹ میں مچھلی کے

پھر اترا جاتا ہے

تاریخ یہی کہتی ہے

عشق میں

جسموں کو بھی خوں سے

رنگین کیا جاتا ہے

بھوک ستاتی ہے جب بھی

تو پھر پیٹ پہ

پتھر بھی باندھا جاتا ہے

عشق میں

گھر کو بھی کنگال کیا جاتا ہے

جلتی ریت پہ بھی

لیٹا جاتا ہے

پھر سینے پر

گرم چٹان کو بھی تو

سہنا پڑتا ہے

تاریخ یہی کہتی ہے

عشق میں

اکثر بھوکا پیاسا رہ کر

دینی پڑتی ہے قربانی مقتل میں

محمد سالم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

TariKH Yahi Kahti Hai

Mohammad Salim

ye jo kaha jata hai bhai
ishq bhi tola jata hai
sach hai ye qaul bhi
waise to tariKH bhi
apne aap ko dohraati hai
jaanch mein
sachcha utra hai jab koi
phir to wahi sadiq kahlata hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
aag ke
Dheron par leTa jata hai
jis ki KHatir
apne bachche ki gardan pe
chhuri bhi pheri jati hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
kuda bhi jata hai
samundar mein
aur jis ki KHatir
peT mein machhli ke
phir utra jata hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
jismon ko bhi KHun se
rangin kiya jata hai
bhuk satati hai jab bhi
to phir peT pe
patthar bhi bandha jata hai
ishq mein
ghar ko bhi kangal kiya jata hai
jalti ret pe bhi
leTa jata hai
phir sine par
garm chaTTan ko bhi to
sahna paDta hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
aksar bhuka pyasa rah kar
deni paDti hai qurbani maqtal mein

(432) ووٹ وصول ہوئے

You can read TariKH Yahi Kahti Hai written by Mohammad Salim at UrduPoint. TariKH Yahi Kahti Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Salim. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Salim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Salim' above.

TariKH Yahi Kahti Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like TariKH Yahi Kahti Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.