Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جلسوں میں گزرنے لگی پھر رات تمہاری

منیرؔ شکوہ آبادی

جلسوں میں گزرنے لگی پھر رات تمہاری

اس بھیڑ میں جاتی نہ رہے بات تمہاری

ہے جلوہ گر دیر و حرم ذات تمہاری

ٹھہری ہے دو عملہ میں ملاقات تمہاری

جلوہ صفت شمع ہے گردن سے کمر تک

کس نور کے سانچے میں ڈھلی گات تمہاری

کھولے ہوئے گیسو نہ دکھائے مجھے صورت

مہمان مرے گھر نہ ہوئے رات تمہاری

پچیسی بہت کھیلتی ہو غیر سے اے جاں

کوڑی کی نہ ہو جائے کہیں بات تمہاری

آنکھوں میں نہیں سلسلۂ اشک شب و روز

تسبیح پڑھا کرتے ہیں دن رات تمہاری

کٹوا کے مرے دست تمنا کو وہ بولے

دو ہاتھ گھٹی آج ملاقات تمہاری

فرماتے ہیں ہنس ہنس کے مجھے دیکھ کے گریاں

لے ڈوبے گی آخر تمہیں برسات تمہاری

مستی جو لگا کر مجھے باتوں میں اڑاؤ

اڑ جائے دھواں بن کے یہ ظلمات تمہاری

پامالوں کی آنکھوں میں سبک مجھ کو نہ کرنا

ڈرتا ہوں کہ ہلکی نہ پڑے بات تمہاری

کہتے ہیں تغافل سے مجھے زہر کھلا کر

ان روزوں بہت تلخ ہے اوقات تمہاری

جو کچھ کہو برعکس کوئی کہہ نہیں سکتا

کیا تاب ہے الٹے جو کوئی بات تمہاری

کہتا ہوں کہ بوسہ بھی ملا جان بھی پائی

وعدہ نہ کرو خیر عنایات تمہاری

آنکھوں میں بھی سینہ میں بھی دل میں بھی تمہیں ہو

کس پردہ میں پوشیدہ نہیں ذات تمہاری

حوروں میں ہوا کرتی ہیں تقریر کی نقلیں

ڈر ہے نہ بگڑ جائے کہیں بات تمہاری

پہنا کے کفن خاک کے پردے میں چھپایا

دہرے دیے خلعت یہ عنایات تمہاری

ہونٹوں سے جو پھر جاتی ہے منہ کی طرف اے جان

کیا نشہ میں بہکی ہوئی ہے بات تمہاری

کی قطع عبث زلف نہ تھا کوئی گرفتار

تنہا رہے بے لطف کٹی رات تمہاری

بد گو ہو یہ افسانہ رہے اہل جہاں میں

قصہ ہو بگڑ جائے اگر بات تمہاری

زخم ایک کٹاری کا عنایت نہیں ہوتا

کوڑی کوئی ملتی نہیں خیرات تمہاری

الجھا ہے مگر زلف میں تقریر کا لچھا

سلجھی ہوئی ہم نے نہ سنی بات تمہاری

اللہ رے صفا منہ نظر آتا ہے بدن میں

آئینہ ہے اے جان کرامات تمہاری

فرمائشوں کا بوجھ رقیبوں سے نہ اٹھا

صد شکر کہ ہلکی نہ ہوئی بات تمہاری

شیریں سے نہ ہو دل کہیں فرہاد کا کھٹا

ڈرتا ہوں کہ شیریں ہے بہت بات تمہاری

کیا شعر مزے دار منیرؔ آج پڑھے ہیں

ہر بات میں اعجاز ہے کیا بات تمہاری

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari

Muneer Shikohabadi

jalson mein guzarne lagi phir raat tumhaari
is bhiD mein jati na rahe baat tumhaari

hai jalwa-gar-e-dair-o-haram zat tumhaari
Thahri hai do amla mein mulaqat tumhaari

jalwa sifat-e-shama hai gardan se kamar tak
kis nur ke sanche mein Dhali gat tumhaari

khole hue gesu na dikhae mujhe surat
mehman mere ghar na hue raat tumhaari

pacchisi bahut khelti ho ghair se ai jaan
kauDi ki na ho jae kahin baat tumhaari

aankhon mein nahin silsial-e-ashk shab-o-roz
tasbih paDha karte hain din raat tumhaari

kaTwa ke mere dast-e-tamanna ko wo bole
do hath ghaTi aaj mulaqat tumhaari

farmate hain hans hans ke mujhe dekh ke giryan
le Dubegi aaKHir tumhein barsat tumhaari

masti jo laga kar mujhe baaton mein uDao
uD jae dhuan ban ke ye zulmat tumhaari

pamalon ki aankhon mein subuk mujh ko na karna
Darta hun ki halki na paDe baat tumhaari

kahte hain taghaful se mujhe zahr khila kar
in rozon bahut talKH hai auqat tumhaari

jo kuchh kaho bar-aks koi kah nahin sakta
kya tab hai ulTe jo koi baat tumhaari

kahta hun ki bosa bhi mila jaan bhi pai
wada na karo KHair inayat tumhaari

aankhon mein bhi sine mein bhi dil mein bhi tumhin ho
kis parde mein poshida nahin zat tumhaari

huron mein hua karti hain taqrir ki naqlen
Dar hai na bigaD jae kahin baat tumhaari

pahna ke kafan KHak ke parde mein chhupaya
duhre diye KHilat ye inayat tumhaari

honTon se jo phir jati hai munh ki taraf ai jaan
kya nashshe mein bahki hui hai baat tumhaari

ki qata abas zulf na tha koi giraftar
tanha rahe be-lutf kaTi raat tumhaari

bad-go ho ye afsana rahe ahl-e-jahan mein
qissa ho bigaD jae agar baat tumhaari

zaKHm ek kaTari ka inayat nahin hota
kauDi koi milti nahin KHairaat tumhaari

uljha hai magar zulf mein taqrir ka lachchha
suljhi hui hum ne na suni baat tumhaari

allah re safa munh nazar aata hai badan mein
aaina hai ai jaan karamat tumhaari

farmaishon ka bojh raqibon se na uTTha
sad shukr ki halki na hui baat tumhaari

shirin se na ho dil kahin farhad ka khaTTa
Darta hun ki shirin hai bahut baat tumhaari

kya sher mazedar 'munir' aaj paDhe hain
har baat mein eajaz hai kya baat tumhaari

(392) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jalson Mein Guzarne Lagi Phir Raat Tumhaari, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.