Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka, Urdu Ghazal By Nanak Singh Nashtar

Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nanak Singh Nashtar. Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہاں ہے وہ تسلسل روشنی کا

نانک سنگھ نشتر

کہاں ہے وہ تسلسل روشنی کا

یہی معیار ہے کیا دوستی کا

کوئی اپنوں سے یوں لڑتا نہیں ہے

سبب کوئی تو ہوگا برہمی کا

یہاں ہاتھوں میں اب سب کے ہیں پتھر

خلاصہ ہے یہی دیوانگی کا

یقیناً مسئلہ کوئی تو ہوگا

یہاں شہرا بہت ہے آپ ہی کا

بہت سے تجربے ہوتے رہے ہیں

کبھی بھی نام مت لو دوستی کا

کروں گا ظرف کا سودا نہ نشترؔ

میں جیسا ہوں رہوں گا آپ ہی کا

نانک سنگھ نشتر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka

Nanak Singh Nashtar

kahan hai wo tasalsul raushni ka
yahi mear hai kya dosti ka

koi apnon se yun laDta nahin hai
sabab koi to hoga barhami ka

yahan hathon mein ab sab ke hain patthar
KHulasa hai yahi diwangi ka

yaqinan masala koi to hoga
yahan shohra bahut hai aap hi ka

bahut se tajrabe hote rahe hain
kabhi bhi nam mat lo dosti ka

karunga zarf ka sauda na 'nashtar'
main jaisa hun rahunga aap hi ka

(346) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka written by Nanak Singh Nashtar at UrduPoint. Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka is one of the masterpieces written by Nanak Singh Nashtar. You can also find the complete poetry collection of Nanak Singh Nashtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nanak Singh Nashtar' above.

Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Hai Wo Tasalsul Raushni Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.