Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki, Urdu Ghazal By Naseem Nikhat

Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Nikhat. Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سب کے غموں میں تھوڑی تھوڑی میں نے حصہ داری کی

نسیم نکہت

سب کے غموں میں تھوڑی تھوڑی میں نے حصہ داری کی

خوشیوں کی امید نہ رکھی درد سے رشتہ داری کی

دنیا والوں کی عادت ہے یہ تو دکھاوا کرتے ہیں

میں نے سب کو اپنا سمجھا دنیا نے مکاری کی

سب مصروف تھے کوئی نہ آیا حال مرا سننے کے لئے

شہر میں یوں تو پھیل گئی تھی خبر مری بیماری کی

ظالم رات بہت بھاری تھی آنکھوں پر کیا کیا گزری

صبح کی آہٹ سن کر شب نے چلنے کی تیاری کی

آندھی نے وہ ظلم ہے ڈھایا شاخ جو ٹوٹی بکھرے پھول

ٹوٹے پتے دیکھ خزاں نے اپنی رائے شماری کی

اس کے بچے اس کی خدمت میں دن رات لگے ہیں آج

جس نے بزرگوں کی خدمت کی جس نے تابع داری کی

تاریکی میں ڈوب گیا تھا چاند کا روشن چہرہ جب

ساری رات چراغوں نے گھٹ گھٹ کر آہ و زاری کی

اپنے سوالوں سے گھبرا کر سب خود ہی رو دیتے تھے

چاہنے والوں نے آنکھوں میں شب بھر شب بے داری کی

اس ظالم نے حال نہ پوچھا جس سے تھی امید بہت

سب نے یوں تو رسم نبھائی سب نے دنیا داری کی

یہ شاید اپنی قسمت ہے اس سے شکایت کیا کرنا

جس کو ہم نے دل سے چاہا اس نے دل آزاری کی

نسیم نکہت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki

Naseem Nikhat

sab ke ghamon mein thoDi thoDi main ne hisse-dari ki
KHushiyon ki ummid na rakkhi dard se rishta-dari ki

duniya walon ki aadat hai ye to dikhawa karte hain
main ne sab ko apna samjha duniya ne makkari ki

sab masruf the koi na aaya haal mera sunne ke liye
shahr mein yun to phail gai thi KHabar meri bimari ki

zalim raat bahut bhaari thi aankhon par kya kya guzri
subh ki aahaT sun kar shab ne chalne ki tayyari ki

aandhi ne wo zulm hai Dhaya shaKH jo TuTi bikhre phul
TuTe patte dekh KHizan ne apni rae-shumari ki

is ke bachche us ki KHidmat mein din raat lage hain aaj
jis ne buzurgon ki KHidmat ki jis ne tabedari ki

tariki mein Dub gaya tha chand ka raushan chehra jab
sari raat charaghon ne ghuT ghuT kar aah-o-zari ki

apne sawalon se ghabra kar sab KHud hi ro dete the
chahne walon ne aankhon mein shab bhar shab-bedari ki

us zalim ne haal na puchha jis se thi ummid bahut
sab ne yun to rasm nibhai sab ne duniya-dari ki

ye shayad apni qismat hai is se shikayat kya karna
jis ko hum ne dil se chaha us ne dil-azari ki

(669) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki written by Naseem Nikhat at UrduPoint. Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki is one of the masterpieces written by Naseem Nikhat. You can also find the complete poetry collection of Naseem Nikhat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Nikhat' above.

Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sab Ke Ghamon Mein ThoDi ThoDi Maine Hisse-dari Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.