Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi, Urdu Ghazal By Navneet Sharma

Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Navneet Sharma. Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سینہ میں مرے بوجھ بھی اور دہکا چمن بھی

نونیت شرما

سینہ میں مرے بوجھ بھی اور دہکا چمن بھی

کیا چیز تری یاد ہے خوشبو بھی گھٹن بھی

پہلے تو تمنا تھی تری صرف مگر اب

آنکھوں میں نظر آنے لگی میری تھکن بھی

ہے عشق سفر دل سے فقط دل کا مگر کیوں

اس راہ میں آتے ہیں بیاباں بھی چمن بھی

جو دل پہ گزرتی ہیں رقم کر اسے دل پر

زخموں کی نمائش نہ بنے بزم سخن بھی

تپتی ہوئی دھرتی کو مرے چھالوں نے سینچا

کچھ کام تو آیا ہے چلو باؤلا پن بھی

حیرت ہے، مجھے سانس وہیں آتی ہے جاناں

گھٹ جانا سکھائے جہاں یادوں کی پون بھی

کمہلایا ذرا رنگ تو وہ سوچ میں ڈوبے

آہوں سے ملا کرتا ہے کچھ سانولا پن بھی

پیروں کے تلے سے کہیں مٹی نہ کھسک جائے

ضد ہے مری مٹھی میں ہو دھرتی بھی گگن بھی

محبوب کے چہرہ کے مقابل بھی رہا پر

اس دور میں آیا تو ہوا چاند مشن بھی

نونیتؔ تو ہے فضل کی اونچائی کا حصہ

رکھ دل میں اگر نور تو رکھ ذہن میں فن بھی

نونیت شرما

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi

Navneet Sharma

sine mein mere bojh bhi aur dahka chaman bhi
kya chiz teri yaad hai KHushbu bhi ghuTan bhi

pahle to tamanna thi teri sirf magar ab
aankhon mein nazar aane lagi meri thakan bhi

hai ishq safar dil se faqat dil ka magar kyun
is rah mein aate hain bayaban bhi chaman bhi

jo dil pe guzarti hain raqam kar use dil par
zaKHmon ki numaish na bane bazm-e-suKHan bhi

tapti hui dharti ko mere chhaalon ne sincha
kuchh kaam to aaya hai chalo bawla-pan bhi

hairat hai, mujhe sans wahin aati hai jaanan
ghuT jaana sikhae jahan yaadon ki pawan bhi

kumhlaya zara rang to wo soch mein Dube
aahon se mila karta hai kuchh sanwala-pan bhi

pairon ke tale se kahin miTTi na khisak jae
zid hai meri muTThi mein ho dharti bhi gagan bhi

mahbub ke chehre ke muqabil bhi raha par
is daur mein aaya to hua chand mission bhi

'nawnit' tu hai fazl ki unchai ka hissa
rakh dil mein agar nur to rakh zehn mein fan bhi

(512) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi written by Navneet Sharma at UrduPoint. Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi is one of the masterpieces written by Navneet Sharma. You can also find the complete poetry collection of Navneet Sharma by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Navneet Sharma' above.

Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sine Mein Mere Bojh Bhi Aur Dahka Chaman Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.