Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha, Urdu Ghazal By Nawaz Asimi

Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nawaz Asimi. Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تہہ مزار کون ہے سر مزار کون تھا

نواز عصیمی

تہہ مزار کون ہے سر مزار کون تھا

جو قبر گیلی کر گیا وو اشک بار کون تھا

سبھی نے آشکار اپنے آپ کو کیا مگر

نمائشوں کی آڑ میں وو پردہ دار کون تھا

تمام شہر غرق ہے غبار ہی غبار میں

امیر شہر یے بتا وو خاکسار کون تھا

وو قوم ہی عجیب تھی تھے نیم برہنہ سبھی

ندامتیں تھیں کس کے پاس شرمسار کون تھا

مسافروں کا کیا ہوا اے ناخدا تو ہی بتا

بھنور کی زد میں کون تھا ندی کے پار کون تھا

تھی بے حیائیوں کی دھوم شہر امتیاز میں

بگڑ چکے سماج کا جواب‌ دار کون تھا

مری قضا کے بعد شور و غل تھا ازدحام میں

مداوا غم کا کر گیا وو غم گسار کون تھا

جھلک رہی ہیں عظمتیں نوازؔ اس کے تاج میں

جو تاج اس کو دے گیا وو تاجدار کون تھا

نواز عصیمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha

Nawaz Asimi

tah-e-mazar kaun hai sar-e-mazar kaun tha
jo qabr gili kar gaya wo ashk-bar kaun tha

sabhi ne aashkar apne aap ko kiya magar
numaishon ki aaD mein wo parda-dar kaun tha

tamam shahr gharq hai ghubar hi ghubar mein
amir-e-shahr ye bata wo KHaksar kaun tha

wo qaum hi ajib thi the nim-barahna sabhi
nadamaten thin kis ke pas sharmsar kaun tha

musafiron ka kya hua ai naKHuda tu hi bata
bhanwar ki zad mein kaun tha nadi ke par kaun tha

thi be-hayaiyon ki dhum shahr-e-imtiyaz mein
bigaD chuke samaj ka jawab-dar kaun tha

meri qaza ke baad shor-o-ghul tha azhdaham mein
mudawa gham ka kar gaya wo gham-gusar kaun tha

jhalak rahi hain azmaten 'nawaz' us ke taj mein
jo taj us ko de gaya wo tajdar kaun tha

(554) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha written by Nawaz Asimi at UrduPoint. Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha is one of the masterpieces written by Nawaz Asimi. You can also find the complete poetry collection of Nawaz Asimi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nawaz Asimi' above.

Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tah-e-mazar Kaun Hai Sar-e-mazar Kaun Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.