Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre, Urdu Ghazal By Nazish Haidari

Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazish Haidari. Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم سانس بھی لینے کے سزاوار نہ ٹھہرے

نازش حیدری

ہم سانس بھی لینے کے سزاوار نہ ٹھہرے

ماضی کے خرابے کی بھی دیوار نہ ٹھہرے

سو بار دھواں پھول کے سینے سے اٹھا ہے

بادل کے قدم باغ میں اک بار نہ ٹھہرے

یوں میری امیدوں کے محل ہو گئے مسمار

جس طرح کوئی ریت کی دیوار نہ ٹھہرے

پہنچا نئے حالات کے دھارے پہ سفینہ

ممکن ہے مرے ہاتھ میں پتوار نہ ٹھہرے

چھینے لیے جاتی ہیں گلستاں کی ہوائیں

ہم برگ فسردہ کے بھی حق دار نہ ٹھہرے

اے وقت رواں ہم ہیں تیرے ساتھ ابھی تک

ٹھہریں جو کہیں ہم ترا معیار نہ ٹھہرے

حالات کے چہرے پہ دمکتی رہے سرخی

رستا ہوا خون دل فن کار نہ ٹھہرے

اے جلوۂ خاموش ترے شیش محل پر

اک سانس کی دستک بھی کہیں بار نہ ٹھہرے

مسکن مرا اس راہ حوادث میں ہے نازشؔ

جس جادۂ پر ہول میں کہسار نہ ٹھہرے

نازش حیدری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre

Nazish Haidari

hum sans bhi lene ke saza-war na Thahre
mazi ke KHarabe ki bhi diwar na Thahre

sau bar dhuan phul ke sine se uTha hai
baadal ke qadam bagh mein ek bar na Thahre

yun meri ummidon ke mahal ho gae mismar
jis tarah koi ret ki diwar na Thahre

pahuncha nae haalat ke dhaare pe safina
mumkin hai mere hath mein patwar na Thahre

chhine liye jati hain gulistan ki hawaen
hum barg-e-fasurda ke bhi haqdar na Thahre

ai waqt-e-rawan hum hain tere sath abhi tak
Thahren jo kahin hum tera mear na Thahre

haalat ke chehre pe damakti rahe surKHi
rista hua KHun-e-dil-e-fankar na Thahre

ai jalwa-e-KHamosh tere shish-mahal par
ek sans ki dastak bhi kahin bar na Thahre

maskan mera us rah-e-hawadis mein hai 'nazish'
jis jada-e-pur-haul mein kohsar na Thahre

(387) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre written by Nazish Haidari at UrduPoint. Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre is one of the masterpieces written by Nazish Haidari. You can also find the complete poetry collection of Nazish Haidari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazish Haidari' above.

Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Sans Bhi Lene Ke Saza-war Na Thahre, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.