Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai, Urdu Ghazal By Nihal Rizvi Lucknowi

Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nihal Rizvi Lucknowi. Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کار گاہ خیر بھی ہے بزم شر بھی ہے

نہال رضوی لکھنوی

یہ کار گاہ خیر بھی ہے بزم شر بھی ہے

دنیا قیام گاہ بھی ہے رہ گزر بھی ہے

کیا جانے کس کی فتح ہو کس کی شکست ہو

کعبہ بھی ہے نظر میں ترا سنگ در بھی ہے

یہ اور بات ہے کہ تصرف نہ کر سکوں

قبضے میں میرے شام بھی ہے اور سحر بھی ہے

مطلب یہ ہے جفا کا وفاؤں کے ساتھ ساتھ

میرا خیال بھی ہے زمانے کا ڈر بھی ہے

اتنے بڑے جہاں میں غریبوں کے واسطے

یا رب سکون دل کا کوئی مستقر بھی ہے

کس طرح سرگزشت محبت بیاں کروں

یہ داستاں طویل بھی ہے مختصر بھی ہے

اٹھ اور اپنے فرض کو پہچان بے خبر

دنیا بدل گئی ہے تجھے کچھ خبر بھی ہے

دونوں کو گم کیا ہے خیال و شباب نے

وہ کیف بے خودی جو ادھر ہے ادھر بھی ہے

کل تھے جہاں پہ آج بھی تم ہو وہیں نہالؔ

دنیا پہنچ گئی ہے کہاں کچھ خبر بھی ہے

نہال رضوی لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai

Nihal Rizvi Lucknowi

ye kar-gah-e-KHair bhi hai bazm-e-shar bhi hai
duniya qayam-gah bhi hai rahguzar bhi hai

kya jaane kis ki fath ho kis ki shikast ho
kaba bhi hai nazar mein tera sang-e-dar bhi hai

ye aur baat hai ki tasarruf na kar sakun
qabze mein mere sham bhi hai aur sahar bhi hai

matlab ye hai jafa ka wafaon ke sath sath
mera KHayal bhi hai zamane ka Dar bhi hai

itne baDe jahan mein gharibon ke waste
ya-rab sukun-e-dil ka koi mustaqar bhi hai

kis tarah sarguzisht-e-mohabbat bayan karun
ye dastan tawil bhi hai muKHtasar bhi hai

uTh aur apne farz ko pahchan be-KHabar
duniya badal gai hai tujhe kuchh KHabar bhi hai

donon ko gum kiya hai KHyal-o-shabab ne
wo kaif-e-be-KHudi jo idhar hai udhar bhi hai

kal the jahan pe aaj bhi tum ho wahin 'nihaal'
duniya pahunch gai hai kahan kuchh KHabar bhi hai

(369) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai written by Nihal Rizvi Lucknowi at UrduPoint. Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai is one of the masterpieces written by Nihal Rizvi Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Nihal Rizvi Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nihal Rizvi Lucknowi' above.

Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kar-gah-e-KHair Bhi Hai Bazm-e-shar Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.