GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain, Urdu Ghazal By Nirmal Nadeem

GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nirmal Nadeem. GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گھٹائیں رقص کرتی ہیں یہ موسم رقص کرتے ہیں

نرمل ندیم

گھٹائیں رقص کرتی ہیں یہ موسم رقص کرتے ہیں

وہ زلفوں کو جب اپنی کر کے پر نم رقص کرتے ہیں

بڑی مستی بڑی گہرائی ہے ان شوخ آنکھوں میں

انہیں میں مست ہو کر دونوں عالم رقص کرتے ہیں

ہوائیں آنے لگتی ہیں کبھی جب ان کے دامن کی

دئے بھی کر کے اپنی لو کو مدھم رقص کرتے ہیں

تمہارے ہجر کی راتوں میں جب تنہائی ڈستی ہے

بجا کر اپنی ہم سانسوں کی سرگم رقص کرتے ہیں

بہاروں جھومنے لگتی ہیں ان کا نام سنتے ہی

سجا لیتے ہیں گل ہونٹوں پہ شبنم رقص کرتے ہیں

میاں ہم تو قلندر ہیں ہمارا حال مت پوچھو

ہمارے سینے میں کتنے ہی سنگم رقص کرتے ہیں

کبھی جب مل کے آتے ہیں کہیں تنہائی میں ان سے

دریچے بند کر لیتے ہیں اور ہم رقص کرتے ہیں

ہزاروں بجلیاں صدقے میں ان کے ٹوٹ جاتی ہیں

پہن کے نور کی پائل جو ہمدم رقص کرتے ہیں

ندیمؔ اپنی ادا ایسی ہے جس کے سامنے آ کر

خوشی مدہوش ہو جاتی ہے اور غم رقص کرتے ہیں

نرمل ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain

Nirmal Nadeem

ghaTaen raqs karti hain ye mausam raqs karte hain
wo zulfon ko jab apni kar ke pur-nam raqs karte hain

baDi masti baDi gahrai hai un shoKH aankhon mein
unhin mein mast ho kar donon aalam raqs karte hain

hawaen aane lagti hain kabhi jab un ke daman ki
diye bhi kar ke apni lau ko maddham raqs karte hain

tumhaare hijr ki raaton mein jab tanhai Dasti hai
baja kar apni hum sanson ki sargam raqs karte hain

bahaaron jhumne lagti hain un ka nam sunte hi
saja lete hain gul honTon pe shabnam raqs karte hain

miyan hum to qalandar hain hamara haal mat puchho
hamare sine mein kitne hi sangam raqs karte hain

kabhi jab mil ke aate hain kahin tanhai mein un se
dariche band kar lete hain aur hum raqs karte hain

hazaron bijliyan sadqe mein un ke TuT jati hain
pahan ke nur ki pael jo hamdam raqs karte hain

'nadim' apni ada aisi hai jis ke samne aa kar
KHushi madhosh ho jati hai aur gham raqs karte hain

(613) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain written by Nirmal Nadeem at UrduPoint. GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain is one of the masterpieces written by Nirmal Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Nirmal Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nirmal Nadeem' above.

GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like GhaTaen Raqs Karti Hain Ye Mausam Raqs Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.