Sham Ko LauTti ChiDiya, Urdu Nazam By Qaleel Jhansvi

Sham Ko LauTti ChiDiya is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Qaleel Jhansvi. Sham Ko LauTti ChiDiya comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Sham Ko LauTti ChiDiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شام کو لوٹتی چڑیا

قلیل جھانسوی

شام کو چہچہاتی

لوٹتی چڑیا کو

یہ نہیں معلوم کہ اس کے بسیرے والا پیڑ

کاٹ دیا گیا ہے

گھونسلے میں رکھے اس کے انڈے روند دئے گئے ہیں

پیڑ والی جگہ پر مال بنانے کی پرکریہ جاری ہے

لوٹتے لوٹتے چڑیا کو اندھیرا ہو جائے گا اور

جب وہ گھر ڈھونڈتے ڈھونڈتے بھٹکے گی

تو اندیشہ یہ ہے کہ

کھلے پڑے بجلی کی تاروں کو

ڈالیاں سمجھ کر

ان سے ٹکرا کر

کہیں وہ بھسم نہ ہو جائے

کیونکہ ایسا اکثر

دہاڑی مزدوروں اور اویدھ کہی جانے والی چالوں

کے ساتھ بھی ہوتے دیکھا گیا ہے

قلیل جھانسوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sham Ko LauTti ChiDiya

Qaleel Jhansvi

sham ko chahchahati
lauTti chiDiya ko
ye nahin malum ki us ke basere wala peD
kaT diya gaya hai
ghonsle mein rakkhe us ke anDe raund diye gae hain
peD wali jagah par mall banane ki prakriya jari hai
lauTte lauTte chiDiya ko andhera ho jaega aur
jab wo ghar DhunDte DhunDte bhaTkegi
to andesha ye hai ki
khule paDe bijli ki taron ko
Daliyan samajh kar
un se Takra kar
kahin wo bhasm na ho jae
kyunki aisa aksar
dihaDi mazduron aur awaidh kahi jaane wali chaalon
ke sath bhi hote dekha gaya hai

(575) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sham Ko LauTti ChiDiya written by Qaleel Jhansvi at UrduPoint. Sham Ko LauTti ChiDiya is one of the masterpieces written by Qaleel Jhansvi. You can also find the complete poetry collection of Qaleel Jhansvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qaleel Jhansvi' above.

Sham Ko LauTti ChiDiya is a widely read Urdu Nazam. If you like Sham Ko LauTti ChiDiya, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.