Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai, Urdu Ghazal By Qurban Ali Salik Beg

Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qurban Ali Salik Beg. Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مضطرب ہوں اب یہ جی کی بات ہے

قربان علی سالک بیگ

مضطرب ہوں اب یہ جی کی بات ہے

عفو کیجے بے خودی کی بات ہے

سیکڑوں عشاق کے توڑے ہیں دل

کیا تمہاری نازکی کی بات ہے

کیا عجب پوچھے نہ کوئی حشر میں

ایک یہ بھی بے کسی کی بات ہے

جس فغاں سے مانگتے تھے سب پناہ

اب وہ اک بے طاقتی کی بات ہے

مدتیں گزریں وصال یار کو

میری نظروں میں ابھی کی بات ہے

کہتے ہیں انجام اس کا موت ہے

جس قدر غم ہو خوشی کی بات ہے

اضطراب شوق میں کہنی پڑی

جو تری آزردگی کی بات ہے

اے دل امید اس سے ہے تاثیر کی

یہ فغاں ہے یا ولی کی بات ہے

پھرتے ہیں عہد وفا سے ہم کوئی

یہ بھی تم سے آدمی کی بات ہے

سچ کہا ہے دل کو ہے اک دل سے راہ

ان کے لب پر میرے جی کی بات ہے

غیر سے کچھ کہہ کے مجھ سے کہتے ہیں

تم کو کیا مطلب کسی کی بات ہے

وعدہ کیوں کرتے ہو کہہ دو گے ابھی

یاد کس کو ہے کبھی کی بات ہے

مجھ پہ وہ ہنگامہ گزرا ہے کہ لوگ

کل کہیں گے آج ہی کی بات ہے

دہر میں سالکؔ یہ پھیلا ہے نفاق

دوستی بھی دشمنی کی بات ہے

قربان علی سالک بیگ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai

Qurban Ali Salik Beg

muztarib hun ab ye ji ki baat hai
afw kije be-KHudi ki baat hai

saikDon ushshaq ke toDe hain dil
kya tumhaari nazuki ki baat hai

kya ajab puchhe na koi hashr mein
ek ye bhi be-kasi ki baat hai

jis fughan se mangte the sab panah
ab wo ek be-taqati ki baat hai

muddaten guzrin visal-e-yar ko
meri nazron mein abhi ki baat hai

kahte hain anjam us ka maut hai
jis qadar gham ho KHushi ki baat hai

iztirab-e-shauq mein kahni paDi
jo teri aazurdagi ki baat hai

ai dil ummid is se hai tasir ki
ye fughan hai ya wali ki baat hai

phirte hain ahd-e-wafa se hum koi
ye bhi tum se aadmi ki baat hai

sach kaha hai dil ko hai ek dil se rah
un ke lab par mere ji ki baat hai

ghair se kuchh kah ke mujh se kahte hain
tum ko kya matlab kisi ki baat hai

wada kyun karte ho kah doge abhi
yaad kis ko hai kabhi ki baat hai

mujh pe wo hangama guzra hai ki log
kal kahenge aaj hi ki baat hai

dahr mein 'salik' ye phaila hai nifaq
dosti bhi dushmani ki baat hai

(332) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai written by Qurban Ali Salik Beg at UrduPoint. Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai is one of the masterpieces written by Qurban Ali Salik Beg. You can also find the complete poetry collection of Qurban Ali Salik Beg by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qurban Ali Salik Beg' above.

Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.