Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain, Urdu Ghazal By Rahi Shahabi

Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahi Shahabi. Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کی بربادی کے آثار ابھی باقی ہیں

راہی شہابی

دل کی بربادی کے آثار ابھی باقی ہیں

کچھ شکستہ در و دیوار ابھی باقی ہیں

چند پروانے ہی رقصاں ہیں مگر شمع حزیں

شکر کر کچھ ترے غم خوار ابھی باقی ہیں

چند غنچوں کے جگر سی کے رفوگر نہ بنو

کتنے دل ہیں جو دل افگار ابھی باقی ہیں

وقت آیا تو تہ تیغ بھی دہرا دیں گے

وہ فسانے جو سر دار ابھی باقی ہیں

اے مسیحاؤ کبھی گھر سے نکل کر دیکھو

کس قدر شہر میں بیمار ابھی باقی ہیں

سوئے ویرانہ نکل آئے جو دیوانے تو کیا

ذہن میں تو در و دیوار ابھی باقی ہیں

ختم موسیٰ پہ کہاں سلسلۂ شوق ہوا

کتنے ہی طالب دیدار ابھی باقی ہیں

میرے دامن کو نہ دیکھو سر مژگاں دیکھو

کس قدر ابر گہر بار ابھی باقی ہیں

عقدے کھلتے ہی چلے جاتے ہیں ہر روز نئے

غالباً محرم اسرار ابھی باقی ہیں

الجھنیں ہم کو بھی درکار ہیں اتنی جتنے

تجھ میں خم کاکل خم دار ابھی باقی ہیں

تنکے تنکے پہ تری یورش پیہم پھر بھی

آشیاں برق شرربار ابھی باقی ہیں

کس میں جرأت ہے جو پھولوں پہ نظر ڈال سکے

پاسبانی کے لئے خار ابھی باقی ہیں

جو بدل سکتے ہیں مے خانے کا دستور کہن

چند ایسے بھی تو مے خوار ابھی باقی ہیں

دیکھ کر مصر کے بازار کی رونق راہیؔ

دل یہ کہتا ہے خریدار ابھی باقی ہیں

راہی شہابی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain

Rahi Shahabi

dil ki barbaadi ke aasar abhi baqi hain
kuchh shikasta dar-o-diwar abhi baqi hain

chand parwane hi raqsan hain magar sham-e-hazin
shukr kar kuchh tere gham-KHwar abhi baqi hain

chand ghunchon ke jigar si ke rafugar na bano
kitne dil hain jo dil-afgar abhi baqi hain

waqt aaya to tah-e-tegh bhi dohra denge
wo fasane jo sar-e-dar abhi baqi hain

ai mashihao kabhi ghar se nikal kar dekho
kis qadar shahr mein bimar abhi baqi hain

su-e-virana nikal aae jo diwane to kya
zehn mein to dar-o-diwar abhi baqi hain

KHatm musa pe kahan silsila-e-shauq hua
kitne hi talib-e-didar abhi baqi hain

mere daman ko na dekho sar-e-mizhgan dekho
kis qadar abr-guhar-bar abhi baqi hain

uqde khulte hi chale jate hain har roz nae
ghaaliban mahram-e-asrar abhi baqi hain

uljhanen hum ko bhi darkar hain utni jitne
tujh mein KHam kakul-e-KHamdar abhi baqi hain

tinke tinke pe teri yurish-e-paiham phir bhi
aashiyan barq-e-sharar-bar abhi baqi hain

kis mein jurat hai jo phulon pe nazar Dal sake
pasbani ke liye KHar abhi baqi hain

jo badal sakte hain mai-KHane ka dastur-e-kuhan
chand aise bhi to mai-KHwar abhi baqi hain

dekh kar misr ke bazar ki raunaq 'rahi'
dil ye kahta hai KHaridar abhi baqi hain

(638) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain written by Rahi Shahabi at UrduPoint. Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain is one of the masterpieces written by Rahi Shahabi. You can also find the complete poetry collection of Rahi Shahabi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahi Shahabi' above.

Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ki Barbaadi Ke Aasar Abhi Baqi Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.