Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai, Urdu Ghazal By Rasool Saqi

Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasool Saqi. Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری دن کے اجالوں پر نظر ہے

رسول ساقی

مری دن کے اجالوں پر نظر ہے

ستاروں کا کرشمہ رات بھر ہے

وہ ہنستا ہے مگر رخسار نم ہیں

یہ شاید پچھلے موسم کا اثر ہے

کسی کی عیب جوئی ہی کیا کر

ابھی کے دور میں یہ بھی ہنر ہے

یہاں کے سارے موسم ایک سے ہیں

یہی اس شہر کی تازہ خبر ہے

سپاہی جنگ سے کب لوٹتے ہیں

وہ کوئی اور ہے زندہ اگر ہے

اکیلا رات کو دن کر رہا ہوں

مری گردش میں شامل ہر بشر ہے

یہ جگنو کل کا سورج دیوتا ہے

مگر یہ تیرگی پر منحصر ہے

خدا تو ایک ہے لیکن سنا ہے

زمانہ ایک کے آگے صفر ہے

رسول ساقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai

Rasool Saqi

meri din ke ujalon par nazar hai
sitaron ka karishma raat bhar hai

wo hansta hai magar ruKHsar nam hain
ye shayad pichhle mausam ka asar hai

kisi ki aib-jui hi kiya kar
abhi ke daur mein ye bhi hunar hai

yahan ke sare mausam ek se hain
yahi is shahr ki taza KHabar hai

sipahi jang se kab lauTte hain
wo koi aur hai zinda agar hai

akela raat ko din kar raha hun
meri gardish mein shamil har bashar hai

ye jugnu kal ka suraj dewta hai
magar ye tirgi par munhasir hai

KHuda to ek hai lekin suna hai
zamana ek ke aage sifar hai

(437) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai written by Rasool Saqi at UrduPoint. Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai is one of the masterpieces written by Rasool Saqi. You can also find the complete poetry collection of Rasool Saqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasool Saqi' above.

Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Din Ke Ujalon Par Nazar Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.