Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کون دل ہے مرے اللہ جو ناشاد نہیں

ریاضؔ خیرآبادی

کون دل ہے مرے اللہ جو ناشاد نہیں

کون گھر ہے مرے اللہ جو برباد نہیں

نازنیں جان بھی لیں تو کوئی بیداد نہیں

چوڑیاں ہاتھ میں ہیں خنجر فولاد نہیں

اے نسیم سحری ساتھ لیے جا سوئے بام

نفس رد ہے نالہ نہیں فریاد نہیں

سبز باغ آپ دکھائیں نہ اب آزادی کے

آپ کے باغ میں تو سرو بھی آزاد نہیں

چپ سے ہیں کچھ مرے آغوش میں وہ حشر کے دن

یہ وہی ہیں جنہیں پیمان وفا یاد نہیں

دیکھتے رنگ حنا جاتے ہیں مقتل کی طرف

ہاتھ میں تیغ نہیں خنجر فولاد نہیں

ہے تری جیب پر آج آنکھ نشیمن کے عوض

باغباں یہ تو کوئی چور ہے صیاد نہیں

شور قلقل میں گم آواز اذاں ہے اے شیخ

یہ بہت خوب کہی مے کدہ آباد نہیں

ایک اک پھول کو ایک ایک کلی کو دیکھا

ہار میں ان کے ہمارا دل ناشاد نہیں

نکلی ہیں حشر میں دنیا کی پرانی باتیں

میں تو کیا میرے فرشتوں کو بھی اب یاد نہیں

نہ گری برق مگر آپ گرے غش کھا کر

یہ تو اے حضرت موسیٰ کوئی افتاد نہیں

جس سے آتا تھا نشیمن کا قفس میں کچھ لطف

تیرے قربان تری آنکھ وہ صیاد نہیں

دل سے نکلی ہے یہ دل ہی میں رہے گی ظالم

جا کے دیوار سے ٹکرائے وہ فریاد نہیں

کام کرتا تھا جو اے چرخ ترے پردے میں

وہ نہیں کام میں تو لذت بیداد نہیں

یہ بہت ہے رہے دل پر جو حکومت قائم

آج قبضے میں اگر بصرہ و بغداد نہیں

بوئے خوں دیتے ہیں شیریں ترے مہندی لگے ہاتھ

ہاتھ میں لالے کے خون سر فرہاد نہیں

حد سے آگے نہ بڑھے دیکھیے مژگان دراز

چھیڑنے کے لئے کم نشتر فصاد نہیں

شعرا آپ کو بھی خوب بناتے ہیں ریاضؔ

سب یہ کہتے ہیں کوئی آپ سا استاد نہیں

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin

Riyaz Khairabadi

kaun dil hai mere allah jo nashad nahin
kaun ghar hai mere allah jo barbaad nahin

naznin jaan bhi len to koi bedad nahin
chuDiyan hath mein hain KHanjar-e-faulad nahin

ai nasim-e-sahari sath liye ja su-e-baam
nafas-e-radd hai nala nahin fariyaad nahin

sabz-bagh aap dikhaen na ab aazadi ke
aap ke bagh mein to sarw bhi aazad nahin

chup se hain kuchh mere aaghosh mein wo hashr ke din
ye wahi hain jinhen paiman-e-wafa yaad nahin

dekhte rang-e-hina jate hain maqtal ki taraf
hath mein tegh nahin KHanjar-e-faulad nahin

hai teri jeb par aaj aankh nasheman ke ewaz
baghban ye to koi chor hai sayyaad nahin

shor-e-qulqul mein gum aawaz-e-azan hai ai shaiKH
ye bahut KHub kahi mai-kada aabaad nahin

ek ek phul ko ek ek kali ko dekha
haar mein un ke hamara dil-e-nashad nahin

nikli hain hashr mein duniya ki purani baaten
main to kya mere farishton ko bhi ab yaad nahin

na giri barq magar aap gire ghash kha kar
ye to a hazrat-e-musa koi uftad nahin

jis se aata tha nasheman ka qafas mein kuchh lutf
tere qurban teri aankh wo sayyaad nahin

dil se nikli hai ye dil hi mein rahegi zalim
ja ke diwar se Takrae wo fariyaad nahin

kaam karta tha jo ai charKH tere parde mein
wo nahin kaam mein to lazzat-e-bedad nahin

ye bahut hai rahe dil par jo hukumat qaem
aaj qabze mein agar basra-o-baghdad nahin

bu-e-KHun dete hain shirin tere mehndi lage hath
hath mein lale ke KHun-e-sar-e-farhad nahin

had se aage na baDhe dekhiye mizhgan-e-daraaz
chheDne ke liye kam nashtar-e-fassad nahin

shoara aap ko bhi KHub banate hain 'riyaz'
sab ye kahte hain koi aap sa ustad nahin

(345) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kaun Dil Hai Mere Allah Jo Nashad Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.