Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin, Urdu Ghazal By Safdar Mirzapuri

Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Safdar Mirzapuri. Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذرا بھی دم ترے بیمار ناتواں میں نہیں

صفدر مرزا پوری

ذرا بھی دم ترے بیمار ناتواں میں نہیں

مکاں میں یوں ہے کہ جیسے کوئی مکاں میں نہیں

وہ چھیڑ چھیڑ کے پوچھیں نہ دل کے درد کا حال

کہو زباں سے یہ طاقت مری زباں میں نہیں

چمن میں کس کے لیے بجلیاں تڑپتی ہیں

گل آشیاں میں نہیں شاخ آشیاں میں نہیں

تمہارے در سے اٹھاتا ہے کیوں ہمیں درباں

کچھ ایسے لعل لگے سنگ آستاں میں نہیں

میں سر بکف ہوں وہ خنجر بکف ہیں مقتل میں

اجل سے کہہ دو کہ اب دیر امتحاں میں نہیں

کریں گے وہ نگہ ناز سے ہدف دل کو

چڑھی کمان ہے ناوک مگر کمان میں نہیں

جگر نے جی جو چرایا تو دل پکار اٹھا

شریک حال مرا کوئی امتحاں میں نہیں

نظر نہ کی مرے حال تباہ پر اس نے

یہ کہہ دیا کہ اثر کچھ مری فغاں میں نہیں

مثل یہ ایک زمانے میں سنتے آئے ہیں

نہ ہو مکین تو رونق کوئی مکاں میں نہیں

جو پھول آج کف گل فروش میں دیکھا

وہ باغباں کے بھی اب وہم میں گماں میں نہیں

یہ لطف پوچھئے کچھ آپ مرنے والوں سے

جناب خضر مزا عمر جاوداں میں نہیں

سنا کہ قصۂ صفدرؔ ہے درد سے خالی

مزے کی چیز یہی تھی جو داستاں میں نہیں

صفدر مرزا پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin

Safdar Mirzapuri

zara bhi dam tere bimar-e-na-tawan mein nahin
makan mein yun hai ki jaise koi makan mein nahin

wo chheD chheD ke puchhen na dil ke dard ka haal
kaho zaban se ye taqat meri zaban mein nahin

chaman mein kis ke liye bijliyan taDapti hain
gul aashiyan mein nahin shaKH aashiyan mein nahin

tumhaare dar se uThata hai kyon hamein darban
kuchh aise lal lage sang-e-astan mein nahin

main sar-ba-kaf hun wo KHanjar-ba-kaf hain maqtal mein
ajal se kah do ki ab der imtihan mein nahin

karenge wo nigah-e-naz se hadaf dil ko
chaDhi kaman hai nawak magar kaman mein nahin

jigar ne ji jo churaya to dil pukar uThTha
sharik-e-haal mera koi imtihan mein nahin

nazar na ki mere haal-e-tabah par us ne
ye kah diya ki asar kuchh meri fughan mein nahin

masal ye ek zamane mein sunte aae hain
na ho makin to raunaq koi makan mein nahin

jo phul aaj kaf-e-gul-farosh mein dekha
wo baghban ke bhi ab wahm mein guman mein nahin

ye lutf puchhiye kuchh aap marne walon se
janab-e-KHizr maza umr-e-jawedan mein nahin

suna ki qissa-e-'safdar' hai dard se KHali
maze ki chiz yahi thi jo dastan mein nahin

(420) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin written by Safdar Mirzapuri at UrduPoint. Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin is one of the masterpieces written by Safdar Mirzapuri. You can also find the complete poetry collection of Safdar Mirzapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Safdar Mirzapuri' above.

Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zara Bhi Dam Tere Bimar-e-na-tawan Mein Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.