Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha, Urdu Ghazal By Saima Esma

Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saima Esma. Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی امکاں تو نہ تھا اس کا مگر چاہتا تھا

صائمہ اسما

کوئی امکاں تو نہ تھا اس کا مگر چاہتا تھا

کب سے کوئی کسی دیوار میں در چاہتا تھا

ضبط کے پیڑ نے گل اور کھلائے اب کے

اور ہی طرز کا یہ دل تو ثمر چاہتا تھا

آخری منزل تسکین دل و جان تلک

منزلیں راہ نہ کاٹیں یہ سفر چاہتا تھا

چند لمحوں کے لئے جڑ کو وہ سیراب کرے

اور شتابی سے نکل آئے ثمر چاہتا تھا

کتنا کم فہم تھا کوئی کہ جلا کر ان کو

زندگی پر مرے خوابوں کا اثر چاہتا تھا

یہ الگ بات کہ تیشے سے شناسائی نہ تھی

وارنا جان کوئی تجھ پہ مگر چاہتا تھا

ہجر احساس کو شل بھی تو کیے رہتا ہے

اثر اس کا کوئی با رنگ دگر چاہتا تھا

اس کو سایوں کے تعاقب میں لکھا تھا رہنا

درد آنگن میں گھنا ایک شجر چاہتا تھا

ایک گہری سی نظر روزن دل کے اندر

دشت احساس کہاں شمس و قمر چاہتا تھا

آندھیاں دوش پہ لے کر وہ اڑا پھرتا ہو

اور سلامت بھی رہے کانچ نگر چاہتا تھا

صائمہ اسما

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha

Saima Esma

koi imkan to na tha us ka magar chahta tha
kab se koi kisi diwar mein dar chahta tha

zabt ke peD ne gul aur khilae ab ke
aur hi tarz ka ye dil to samar chahta tha

aaKHiri manzil-e-taskin-e-dil-o-jaan talak
manzilen rah na kaTen ye safar chahta tha

chand lamhon ke liye jaD ko wo sairab kare
aur shitabi se nikal aae samar chahta tha

kitna kam-fahm tha koi ki jala kar un ko
zindagi par mere KHwabon ka asar chahta tha

ye alag baat ki teshe se shanasai na thi
warna jaan koi tujh pe magar chahta tha

hijr ehsas ko shal bhi to kiye rahta hai
asar us ka koi ba-rang-e-digar chahta tha

us ko sayon ke taaqub mein likha tha rahna
dard aangan mein ghana ek shajar chahta tha

ek gahri si nazar rauzan-e-dil ke andar
dasht-e-ehsas kahan shams o qamar chahta tha

aandhiyan dosh pe le kar wo uDa phirta ho
aur salamat bhi rahe kanch-nagar chahta tha

(500) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha written by Saima Esma at UrduPoint. Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha is one of the masterpieces written by Saima Esma. You can also find the complete poetry collection of Saima Esma by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saima Esma' above.

Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Imkan To Na Tha Us Ka Magar Chahta Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.