Rang-o-nur Ki Raat, Urdu Nazam By Salahuddin Nayyar

Rang-o-nur Ki Raat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Salahuddin Nayyar. Rang-o-nur Ki Raat comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Rang-o-nur Ki Raat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رنگ و نور کی رات

صلاح الدین نیر

یہ رنگ و نور کی برسات

جگنوؤں کی برات

بکھر رہی ہے فضاؤں میں کہکشاں کی طرح

اجالے کتنی ہی راتوں کا زہر پی پی کر

بصد خلوص بہ انداز دل کشی اب بھی

سیاہ راتوں میں تاریکیوں کے چہروں پر

ابھر رہے ہیں مگر

یہاں ہے کتنی نگاہوں میں روشنی کا چلن

دلوں میں کتنے ضیا لے رہی ہے انگڑائی

نظر نظر میں دھندلکا

دھواں دھواں آنکھیں

بساط دل پہ اداسی کا رقص جاری ہے

اداس ہیں در و دیوار

بجھے بجھے سے گھر

ہیں کتنے ایسے مکاں جن میں دیپ جلتے ہیں

یہ رات وہ ہے کہ تاریکیوں کے دامن میں

کہیں پہ دوستو خوشیوں کے جل رہے ہیں چراغ

کہیں پہ زخم سلگتے ہیں دل پگھلتے ہیں

صلاح الدین نیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rang-o-nur Ki Raat

Salahuddin Nayyar

ye rang-o-nur ki barsat
jugnuon ki baraat
bikhar rahi hai fazaon mein kahkashan ki tarah
ujale kitni hi raaton ka zahr pi pi kar
ba-sad-KHulus ba-andaz-e-dil-kashi ab bhi
siyah raaton mein tarikiyon ke chehron par
ubhar rahe hain magar
yahan hai kitni nigahon mein raushni ka chalan
dilon mein kitne ziya le rahi hai angDai
nazar nazar mein dhundalka
dhuan dhuan aankhen
bisat-e-dil pe udasi ka raqs jari hai
udas hain dar-o-diwar
bujhe bujhe se ghar
hain kitne aise makan jin mein dip jalte hain
ye raat wo hai ki tarikiyon ke daman mein
kahin pe dosto KHushiyon ke jal rahe hain charagh
kahin pe zaKHm sulagte hain dil pighalte hain

(589) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rang-o-nur Ki Raat written by Salahuddin Nayyar at UrduPoint. Rang-o-nur Ki Raat is one of the masterpieces written by Salahuddin Nayyar. You can also find the complete poetry collection of Salahuddin Nayyar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salahuddin Nayyar' above.

Rang-o-nur Ki Raat is a widely read Urdu Nazam. If you like Rang-o-nur Ki Raat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.