Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun, Urdu Ghazal By Sarfraz Nawaz

Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarfraz Nawaz. Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھ کو ہونا ہے تو درویش کے جیسا ہو جاؤں

سرفراز نواز

مجھ کو ہونا ہے تو درویش کے جیسا ہو جاؤں

منزلیں سب کے لئے اور میں رستہ ہو جاؤں

کتنا دشوار ہے اک لمحہ بھی اپنا ہونا

اس کو ضد ہے کہ میں ہر حال میں اس کا ہو جاؤں

میں نے آنکھوں کو تری غور سے دیکھا ہے بہت

یہ تو ممکن ہی نہیں ہے کہ میں اندھا ہو جاؤں

جو حرارت ہے بدن میں وہ ترے لمس کی ہے

تو مجھے گر نہ چھوئے مٹی کا تودا ہو جاؤں

اس قدر لطف بکھرنے میں ملا ہے مجھ کو

میں نے کوشش ہی نہیں کی کبھی یکجا ہو جاؤں

پھر یہ ڈرتا ہوں خدا جانے بھلا کیسا ہو

جی میں آتا ہے کبھی اپنا بھی چہرہ ہو جاؤں

غائبانہ ہی سہی میرا تعارف ہو جائے

میں کہانی کا کسی طرح سے حصہ ہو جاؤں

اس طرح یاد تری آ کے اچک لے مجھ کو

دفعتاً بھیڑ میں چلتے ہوئے تنہا ہو جاؤں

ان طبیبوں کو علاج غم دل کیا معلوم

تم عیادت کو چلے آؤ تو اچھا ہو جاؤں

یوں ہی مٹی میں پڑا ایک ہنر ہوں میں بھی

جوہری مجھ کو پرکھ لے تو میں ہیرا ہو جاؤں

تو نہیں یاد نہیں کوئی نہیں میں بھی نہیں

اور کچھ اور میں کچھ اور اکیلا ہو جاؤں

سرفراز نواز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun

Sarfraz Nawaz

mujh ko hona hai to darwesh ke jaisa ho jaun
manzilen sab ke liye aur main rasta ho jaun

kitna dushwar hai ek lamha bhi apna hona
us ko zid hai ki main har haal mein us ka ho jaun

main ne aankhon ko teri ghaur se dekha hai bahut
ye to mumkin hi nahin hai ki main andha ho jaun

jo hararat hai badan mein wo tere lams ki hai
tu mujhe gar na chhue miTTi ka tuda ho jaun

is qadar lutf bikharne mein mila hai mujh ko
main ne koshish hi nahin ki kabhi yakja ho jaun

phir ye Darta hun KHuda jaane bhala kaisa ho
ji mein aata hai kabhi apna bhi chehra ho jaun

ghaebana hi sahi mera taaruf ho jae
main kahani ka kisi tarah se hissa ho jaun

is tarah yaad teri aa ke uchak le mujh ko
dafatan bhiD mein chalte hue tanha ho jaun

in tabibon ko ilaj-e-gham-e-dil kya malum
tum ayaadat ko chale aao to achchha ho jaun

yun hi miTTi mein paDa ek hunar hun main bhi
jauhari mujh ko parakh le to main hira ho jaun

tu nahin yaad nahin koi nahin main bhi nahin
aur kuchh aur main kuchh aur akela ho jaun

(571) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun written by Sarfraz Nawaz at UrduPoint. Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun is one of the masterpieces written by Sarfraz Nawaz. You can also find the complete poetry collection of Sarfraz Nawaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarfraz Nawaz' above.

Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhko Hona Hai To Darwesh Ke Jaisa Ho Jaun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.