Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain, Urdu Ghazal By Sarshar Hoshyarpuri

Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sarshar Hoshyarpuri. Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہی اکثر اوقات ہم دیکھتے ہیں

سرشار ہوشیارپوری

یہی اکثر اوقات ہم دیکھتے ہیں

ہماری طرف آپ کم دیکھتے ہیں

تری زلف کے پیچ و خم دیکھتے ہیں

کہ در ہائے دیر و حرم دیکھتے ہیں

خدا کی قسم کیا نہیں دیکھتے ہم

تمہیں جب خدا کی قسم دیکھتے ہیں

دکھاتی ہے کیا کیا کرشمے محبت

یہ آب بقا ہے کہ سم دیکھتے ہیں

ستم بر ستم زندگی کے محافظ

ستم گر کو وقف ستم دیکھتے ہیں

اگر ہم بہت کم نظر ہیں تو کیا ہے

کچھ اہل نظر بھی تو کم دیکھتے ہیں

ہمارے خدا ہیں مگر آپ کب تک

رہیں گے صنم کے صنم دیکھتے ہیں

خدارا نہ پوچھو نہ پوچھو خدارا

جو ہم دیکھتے تھے جو ہم دیکھتے ہیں

نظر آئے آئے نہ آئے نہ آئے

نوشتے میں کیا ہے رقم دیکھتے ہیں

کسی کے محاسن کسی کے معائب

یہ تم دیکھتے ہو وہ ہم دیکھتے ہیں

کئی دیکھنے والے ایسے بھی ہیں جو

خوشی دیکھتے ہیں نہ غم دیکھتے ہیں

کب آئے گا دن جب غریبوں کی جانب

اٹھیں گے تمہارے قدم دیکھتے ہیں

میں ان مطربوں کی طرف دیکھتا ہوں

جو سر دیکھتے ہیں نہ سم دیکھتے ہیں

نہیں دیکھتے آنکھ اٹھا کر غلط ہے

نہیں واعظ محترم دیکھتے ہیں

جنہیں ناز ہے قوت باصرہ پر

وہی لوگ سرشارؔ کم دیکھتے ہیں

سرشار ہوشیارپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain

Sarshar Hoshyarpuri

yahi aksar auqat hum dekhte hain
hamari taraf aap kam dekhte hain

teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain
ki dar hae dair-o-haram dekhte hain

KHuda ki qasam kya nahin dekhte hum
tumhein jab KHuda ki qasam dekhte hain

dikhati hai kya kya karishme mohabbat
ye aab-e-baqa hai ki sam dekhte hain

sitam bar sitam zindagi ke muhafiz
sitamgar ko waqf-e-sitam dekhte hain

agar hum bahut kam-nazar hain to kya hai
kuchh ahl-e-nazar bhi to kam dekhte hain

hamare KHuda hain magar aap kab tak
rahenge sanam ke sanam dekhte hain

KHudara na puchho na puchho KHudara
jo hum dekhte the jo hum dekhte hain

nazar aae aae na aae na aae
nawishte mein kya hai raqam dekhte hain

kisi ke mahasin kisi ke maaib
ye tum dekhte ho wo hum dekhte hain

kai dekhne wale aise bhi hain jo
KHushi dekhte hain na gham dekhte hain

kab aaega din jab gharibon ki jaanib
uThenge tumhaare qadam dekhte hain

main un mutribon ki taraf dekhta hun
jo sur dekhte hain na sam dekhte hain

nahin dekhte aankh uTha kar ghalat hai
nahin waiz-e-mohtaram dekhte hain

jinhen naz hai quwwat-e-basira par
wahi log 'sarshaar' kam dekhte hain

(258) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain written by Sarshar Hoshyarpuri at UrduPoint. Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain is one of the masterpieces written by Sarshar Hoshyarpuri. You can also find the complete poetry collection of Sarshar Hoshyarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sarshar Hoshyarpuri' above.

Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yahi Aksar Auqat Hum Dekhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.