Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho, Urdu Ghazal By Shaariq Qamar

Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaariq Qamar. Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الم بھی ہار گئے یار بے دلی دیکھو

شارق قمر

الم بھی ہار گئے یار بے دلی دیکھو

جیے بغیر ہی اک عمر کاٹ دی دیکھو

گزر چکا ہے زمانہ کسے گزاروں میں

مجھے گزار رہی ہے یہ زندگی دیکھو

مرے مزاج کی سختی پہ طنز کرتے ہو

کبھی تو دیکھنے والو مجھے سہی دیکھو

دل و دماغ پہ قابض ہے وقت کا صحرا

سراب خواب میں دکھتے ہیں تشنگی دیکھو

شب فراق ہے میں ہوں سخن کی محفل ہے

جو مجھ کو دیکھنا چاہو تو بس ابھی دیکھو

یہی تو ایک ہنر ہے جو میں نے سیکھا ہے

دکھانا چاہوں میں تم کو جو تم وہی دیکھو

نئے چراغ ہی جل جل کے روشنی دیں گے

'بحر' کو دیکھنے والو خیال بھی دیکھو

معانی ضبط کے آنگن سے ربط کرتے ہیں

پھلوں کے بوجھ سے اک شاخ جھک گئی دیکھو

بڑی بہن کی پرانی فراک عید کے دن

کسی غریب کی بیٹی کی بے بسی دیکھو

ہزار رات کا جاگا تھا سو گیا شارقؔ

قمرؔ کی آج بجھی سی ہے روشنی دیکھو

شارق قمر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho

Shaariq Qamar

alam bhi haar gae yar be-dili dekho
jiye baghair hi ek umr kaT di dekho

guzar chuka hai zamana kise guzarun main
mujhe guzar rahi hai ye zindagi dekho

mere mizaj ki saKHti pe tanz karte ho
kabhi to dekhne walo mujhe sahi dekho

dil-o-dimagh pe qabiz hai waqt ka sahra
sarab KHwab mein dikhte hain tishnagi dekho

shab-e-firaq hai main hun suKHan ki mahfil hai
jo mujh ko dekhna chaho to bas abhi dekho

yahi to ek hunar hai jo main ne sikha hai
dikhana chahun main tum ko jo tum wahi dekho

nae charagh hi jal-jal ke raushni denge
'bahar' ko dekhne walo KHayal bhi dekho

maani zabt ke aangan se rabt karte hain
phalon ke bojh se ek shaKH jhuk gai dekho

baDi bahan ki purani frock id ke din
kisi gharib ki beTi ki bebasi dekho

hazar raat ka jaga tha so gaya 'shaariq'
'qamar' ki aaj bujhi si hai raushni dekho

(524) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho written by Shaariq Qamar at UrduPoint. Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho is one of the masterpieces written by Shaariq Qamar. You can also find the complete poetry collection of Shaariq Qamar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaariq Qamar' above.

Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Alam Bhi Haar Gae Yar Be-dili Dekho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.