Naya Aadam, Urdu Nazam By Shamim Qasmi

Naya Aadam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shamim Qasmi. Naya Aadam comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Naya Aadam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نیا آدم

شمیم قاسمی

برسوں کی ریاضت کے بعد

زندگی کے تمام نمایاں اصولوں کے

فولاد بنتے ہوئے سے دائروں کو

توڑ کر

ٹھیک دل کے بیچوں بیچ

ایک انچ چھید کرنے کی کامیاب ٹریننگ

ہم نے لے لی ہے

اور اب تو

جس تھالی میں کھاتے ہیں

اس میں چھید کرنے کا گر بھی ہمیں آ گیا ہے

مانا کہ درندوں کے بھی

شکار کرنے کے اپنے اصول ہوتے ہیں

ٹھنڈے اور گرم گوشت کی

انہیں بھی تمیز ہوتی ہے

ایک ہم ہیں

کہ کس درجہ کمتر ہو گئے ہیں

پھر بھی ہماری افضلیت

ہر جگہ برقرار ہے

کہ ہم اشرف مخلوق کہلاتے ہیں

لیکن آج

ہمیں یہ اعتراف کرنا ہی پڑے گا کہ

کنکریٹ کے بنے اس جنگل میں

حیوان ناطق سے کہیں بہتر

یہ جنگلی سور ہوتے ہیں

شمیم قاسمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naya Aadam

Shamim Qasmi

barson ki riyazat ke baad
zindagi ke tamam numayan usulon ke
faulad bante hue se daeron ko
toD kar
Thik dil ke bichon-bich
ek inch chhed karne ki kaamyab training
hum ne le li hai

aur ab to
jis thaali mein khate hain
us mein chhed karne ka gur bhi hamein aa gaya hai
mana ki darindon ke bhi
shikar karne ke apne usul hote hain
ThanDe aur garm gosht ki
unhen bhi tamiz hoti hai
ek hum hain
ki kis darja kamtar ho gae hain
phir bhi hamari afzaliyat
har jagah barqarar hai
ki hum ashraf-e-maKHluq kahlate hain
lekin aaj
hamein ye e'tiraf karna hi paDega ki
concrete ke bane is jangal mein
haiwan-e-natiq se kahin behtar
ye jangali suar hote hain

(428) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naya Aadam written by Shamim Qasmi at UrduPoint. Naya Aadam is one of the masterpieces written by Shamim Qasmi. You can also find the complete poetry collection of Shamim Qasmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shamim Qasmi' above.

Naya Aadam is a widely read Urdu Nazam. If you like Naya Aadam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.